Gulaabon Se Lipati Shabnam Ki TaraahUsaki Adaayein Hai Mausam Ki TaraahSheeshe Sa Badan Naadaan DilEk Ladki Hai Gazal Ki TaraahPalkon Pe Ruki Woh Meri ZindagiMilati Hai Mujhse Kwhabon Ki TaraahKhafa Jo Mujhse Bhaiti Hai DuurChaahaa Hai Use Zindagi Ki TaraahBanke Badal Jo Dil Pe Chaayi HaiAankhon Mein Bikhari Thi Kajaal Ki TaraahJaanegi Jab Meri Mohobbat Ki IntehaaDhundegi Woh Mujhe Deewaano Ki TaraahKehate Hai Log “Pyar” JiseHamne Woh Kiyaa Ibaadat Ki Taraah

Aap Aayi Humare Garib Khane MeinIs Kaniz Ka Jahan Jaise Jannat Ho GayaHum Khud Apni Aawaz Sunne Ko Taras Rahe TheAapke Alfaaz Sune To Yeh LamhaSaari Zindagi Ho GayaChandni Mein Kud Ko Yun Na SawariyeAapko Dekhkar Chand Bhi Sharma GayaPhoolon Ko Apni Khubsurti Par Ghamand ThaAapko Dekha To Pura Bagh Murjha GayaZaroorat Nahi Hai Ab Chaand Aur Suraj KiAapke Chehre Ke Noor SeYeh Jahan Roshan Ho GayaAapki Tariff Mein Aur Kya Bayan KaruAapki Khubsoorti Ke AageTo Yeh Shayar Bhi Haar Gaya

Karne Lage Tawaf Jahan Poojne LageDasteHunar Wahi Hai Sanam Bolne LageInsaniat Ko Tum Bhi Kahan Khojne LageMoti Har Ek Seep Mein Kyon Dhoodhne LageMausam Badal Gaya Hai Tumhen Kuch Khabar Bhi HaiAayee Bahar Aao Chaman Jhoomne LageJitni Shadeed Dhoop Thi Rahe Hayat MeinUtne Hi Unkee Zulf Ke Saye Ghane LageJheeni Si Ek Naqab Hai Chehre IsliyeAisa Na Ho Ki Chand Ka Dil Doobne LageKhushboo Bata Rahi Hai Ke Mausam Badal GayaAyee Bahar Aao Chaman Jhoomne LageDilbar Mere Libas Par Sadiyon Ki Dhool HaiDo Kadamm Chal Ke Log Yahan Oobne Lage

Karam Hai Ki Tum Ne Bulaaya Hai Hum KoKaleyzey Se Apney Lagayaa Hai Hum KoTumhain Jaankar Bhi Nahi Jaanta ThaShubORoz Jalwa Dikhayaa Hai Hum KoJahannum Waheen Hai Jahaan Tum Nahi HoTarannum Mein Pariyon Ney Gaayaa Hai Tum KoTumhara Kaheen Bhi Muqaabil Nahi HaiKhuda Ney Alug Sey Banaayaa Hai Tum KoYe Gunchey Ye Rungeeniyan: Kuchh Naheen HainShafuq Ney Bahut Aazmaayaa Hai Tum KoTalaashaa Thaa KatmeEAdum Mein Bhi MaineyMagar MulqEFanee Mein Paayaa Hai Tum KoTumhain Hur Dahur Mein Pukara Hai Mainey‘Abd’ Har Lumhey Gungunayaa Hai Tum Ko

Shikave ke naam se bemehar khafa hota haiye bhi mat kah ke jo kahiye to gila hota haipur hun main shikave se yun rag se jaise bajaik zara chediye phir dekhiye kya hota haigo samajhata nahi par husntalafi dekhoshikavaejaur se sargarmejafa hota haiishq ke reh mein hai charkhemakaukab ke wo chalsustrau jaise koi aabalapa hota haiq na thaharen hadafenavakebedad ke humaap utha late hain gar tir khata hota haikhub tha, pahale se hote jo hum apne badkhvahke bhala chahate han aur bura hota hainala jata tha pare arsh se mera aur ablab tak aata hai, jo aisa hi rasa hota haiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghali

Chalo Tum Saath TohZindgi Suhana Safar Ho JaayeRaho Jab Saath TohApna Bhi Ek Ghar Ho JaayeMuskuraao Tum JabJab TohPhoolo Mai Mehak Ho JaayeLehraao Kabhi Baalo Ko TohFiza Mai Baarish Ho JaayeAao Kabhi Tum Paas TohHaath Se Haath Ka Chhoona Ho JaayeChaahe Kitne Chup Rehte Ho Hont TohDheere Se Lafzo Ka Sunna Ho JaayeGar Baate Karo Sakhiyo Se TohApne Saath Humara Bhi Zikr Ho JaayeGhar Ke Darwaze Pe Kuch Socho TohUsme Intezaar Ka Ek Pal Humara Ho JaayeShaam Ko Tum Suraj Ka Dhalna Dekho TohMeri Kisi Baat Se Tumhara Palke Gili Karna Ho JaayeRaat Ke Aasma Ke Taaro Ko Tum Dekho TohKahi Sapne Mai Mera Tum Se Milna Ho Jaaye

Mujh Se Kiya Perda Hai Chalo Utha Deta HoonTumhen Dekh Ker Ik Ghazal Sunaa  Deta HoonKoi Chaand Ho Sooraj Ya Aasmaan Ka TaraTere Cherey Ko Kya Kya Bana Deta HoonPhool Kalyaan Khushboo Bikhri Hon CharsooAaj Sara Gul O Gulzar Saja Detaa HoonTum Se Mil Ker Ye Ehsaas Ho Raha HaiJesey Shabnam Ko Honton Sy Laga Deta HoonYoun Muskura Ker Na Dekha Karo MujheyPal Bhar Main Sari Duniyaan Bhula Deta HoonAa Jaao Ke Abhi Raat Buhat Hy BaaqiApney Khawaabon Mein Tumhen Sulaa Deta HoonKitni Chaahat Kitna Piyaar Hy Hamien Tum SeApny Dil Ki Her Baat Bataa Detaa HoonJab Bhi Bujhti Hai Aag Is Dil KiChingaari Yaadon Ki Phir Se Jala Deta Hoon

Gulsitaane Mohabbat Ki Bahaaron Ne Mujhe LootaNighahe Shoq Jab Uthi Nazaaron Ne Mujhe LootaFasaana Ban Gaya Ulfat Ka Teri Soch Ley ZaalimKe Jab Jaane Adaa Tere Sahaaron Ne Mujhe LootaMere Dil Par Qayaamat Ka Guzarna Tha Shabe FurqatMagar Har Ek Nafs En Chand Taaron Ne Mujhe LootaKisi Ke Husn Ke Jalwe Base The Meri Aankhon MeinBadhi Jab Beqaraari Beqaraaron Ne Mujhe LootaMusalsal Zindagi Ke Emtahan Hote Rahe LekinMere Humraaz Ban Kar Raazdaaron Ne Mujhe LootaShabab Aaya Tha Gulshan Par Ajab Rangee Mausam ThaMagar Ae Dost Saawan Ki Phuaaron Ne Mujhe LootaSare Mehfil Aziz Apni Wafaa Par Nafs Ne Mujhe LootaNigahe Husn Ke Mubham Eshaaron Ne Mujhe Loota

Chupa Liya Hai Anchal Mein Jis Chand Ko Usey Be Nakab To Hone DoBayan Karenge Hale Dil Hum Bhi Ek Baar Deedar To Hone DoKya Gazab Ka Husn Paya Hai Tune Ke Niyat Dol Gayi MeriDekh Lun Tumhe Ek Baar Jee Bher Ke Bus Yehi Arzu Hai MeriTeri Ankho Se Mai Ke Do Paimane Pi To LuTere Labon Ke Dahekate Angaro Ki KasamParwana Ban Ke Inhe Do Ghadi Chum To LunMaut Ki Parvah Hai Kise Zindagi Ko Ji Bher Ke Dekh Toh LunReshami Zulfo Se Ghana Andhera Chahe Kar DoLekin Us Chand Ko Bhi Ghata Se Nikalane Ka Mauka To DoKondhe Chahe Jitani Bijaliyan Nazar Toh MilaleMaut Ka Darr Kya Ho Usey Do Ghadi Jo Tujhe Dekh LeHusn Nahi Chhupata Chahe Jitane Parde Laga LeIshq Hun Main Pa Lunga Tujhe Chahe Jitane Pahere Laga Le

Kya Tareef Karoo Unke Husan KiKhuda Ne Unhe Apne Hattho Se Banaya HaiUnke Khoobsurat Cehre KoHeere Motiyon Se Sajaya HaiUnki Haseen Ankho MainSamandar Ka Neela Paani Milaya HaiUnhe Dekh Kar Aisa Lagta HaiJaise Khuda Ne Bus Mere Liye Banaya HaiRasham Si Unki ZulfoonHontho Ko Gulab Ke Phoolo Se Sajaya HaiChandi Jaisa Unka BadanMashallah Khuda Ne Badha Soch Samajh Ke Banaya HaiJab Woh Hasti Hai To Phool Khilkhila Uthte HaiJab Woh Chalti Hai To Bhawre Gunguna Uthte HaiAb Kya Tareef Karu Rahne Bhi Do YarooHum To Unki Har Ik Adda Par Khayal HaiPehli He Nazar Main Unse Pyar Ho GayaJabse Dekha Hai Unhe Unka Deewana Ho GayaNeend Gayi Ankho Se Chan Bhi Gawaya HaiMeri Hathoo Ki Lakeero Mein Unka Naam Hi Samaya Hai

Tu Hai To Ye Kaynat Hai Ye Khushboo HaiAye Dost Tujhse Hi To Ye Gulshan Ye Manjar HaiYe Waqt Ye Ghadiya Sub Teri Hi Gulami Karte HaiTera Hi Dum Pe To Sab Naakamyab Bhi Kamyabi Ki Aahai Bharte HaiTu Zami Hai Aur Aasma Bhi Hai Tu Khamoshi Hai Aur Masti Ka Sama Bhi HaiTu Chand Hai Or Umido Se Bhari Chandni Bhi Tu HaiTute Hoslo Ke Paro Mein Aatmvishwas Se Bharne Walli Hawa Bhi Tu HaiMaayuso Ki Hoto Pe Tujhse Hi Muskurahat HaiTujhe Hi Dekh Kar Hazaaro Ke Dil Mai Kuch Karne Ki Chahat HaiMai Bhi Tera Hi Ek Hissa HuJaanta Nahi Par Aisa Lagta Hai Shayad Pichla Janam Se Juda Koi Kissa HuMeri Bhi Umid Aur Takat Tujhse HaiJina Ki Wajah Aur Kushiyo Ki Har Aahat Tujhse HaiMeri Dua Hai Tu Yu Hi Rahe Humesha Yuhi Rahe Humesha Yuhi Rahe Humesha

Sundar Sundar Roop Tumhara Gora Mukhra Kitna PyaaraDekhe Koi Nazar Lag Jaaye Ek Pal Bhi Woh Reh Na PayePar Phir Bhi Tum Na Jaane Kyon Mujhko Nahin Suhati HoJaanam Tum Meri Nazaron Mein Aur Bhi Girti Jaati HoJaanu Jaanam Darling Jaise; Shabd Tumhare Kahan Kho GayeAaj To Bas Tum Yun Kehati Ho Are Kahan Ho Kahan Mar GayePehle Koyal Thi Par Ab Tum Kauwwe Si Chillati HoJaanam Tum Meri Nazaron MeinKarkash Hai Aawaj Tumhari Sab Dushton Par Ho Tum BhariChillati Ho Jab Tum Mujh Par Meri Matee Jaati Hai MaariMere Mann Mein Apno Ke Prati Kitna Vish Bharwaati HoJaanam Tum Meri Nazaron MeinSaas Sasur Kuch Bhi Le Aayen Sab Kuch Hai BakwaasMaayeke Se Kutta Bhi Le Aao To Woh Ho Jaaye KhaasMeri Tankwah(Salary) Tum Haraam Ke Dhan(Money) Ki Tarah Udati HoJaanam Tum Meri Nazaron Mein

The Beauty Of A Woman Is Not In The Clothes She May Wear, Nor The Way She Combs Her Hair. The Lovely Figure That She Carries, Or Any Innocence Before She Marries The Beauty Of A Woman Is Seen In The Depth Of Her Eyes The Place Where Her Love Resides. Where The Doorway To Her Heart Is Seen If You’re Invited In By Some Lovely Colleen   The Beauty Of A Woman Is Where Virtue And Passion Convene Not In Any Place She May Have Been And Not Things Superficial As A Facial Mole, Her True Beauty Is Reflected In Her Soul. The Beauty Of A Woman Is The Care And Comfort Offered To Others And Their Amazing Skill At Being Mothers The Unselfish Loving And Giving She Shows Her Beauty With Passing Years, Only Grows Please share with us more poetry or shayari on beauty of girls in comments section below

Tumhari Yaad Mein Tumhein Dhoondti Har Pal NazarWo Masoom Saa Chehraa Apna Dikhaa Jao Na Ek DinSadiyon Se Tumhein Dil Se Pukara Hai MaineApne Dil Ki Baat Mujhe Bhi Sunaa Jao Na Ek DinTumhaare Sang Jeevan Bitana Meri Hai KhwahishMere Sang Reh Kar Meri Is Ruh Ko Mehka Jao Na Ek DinTumhaare Bin Ye Jindagi Hai Bas Kuch Hi Pal KiMain Tumhaare Liye Hun Banaa Ye Dikha Jao Na Ek DinBechain Ye Dil Tarse Pal Pal Pyaar Ko TumhaareApne Hothon Se Wo Pyar Ki Bahar Barsa Jao Na Ek DinIs Mehki Fiza Mein Meri Khwahishein Hain BikhriSaare Jahaan Ki Khushiyan Dene Aa Jao Na Ek DinJindagi Bhar Saath Nibhaane Ka Wada Kiya Jo TumneSang Jeene Marne Ka Wo Wada Nibha Jao Na Ek DinDil Ka Dil Se Rishta Dil Mein Basa Naam TumharaTum Bhi Apne Dil Ki Har Baat Bata Jao Na Ek DinTum Bin Jindagi Ki Sab Khushiyan Hain AdhooriHar Khushi Ko Meri Jindagi Mein Basa Jao Na Ek DinTumhari Aakhon Se Dekhe Jo Khwab Ab Tak MaineMeri Palkon Pe Wo Sunehre Khwab Saja Jao Na Ek DinHar Phool Mein Basi Jaise Tumhaari Hi KhushbooMeri Bagiya Mein Bhi Ek Phool Khila Jao Na Ek DinHar Sitaare Mein Hai Tumhari Choodiyon Ki ChamakApne Haathon Ki Wo Choodiyan Khanka Jao Na Ek Din

Mere Khudaya Mein Zindagi KayAazaab Likhoon K Khawab LikhoonYeh Mera Chehra Yeh Meri AankhainBujhay Huwe Charaagh JaisayJo Phir Say Jalnay Kay Muntizar HonWoh Chand Chehra, Sitaara AankhainWoh Meharbaan SaayaDaar ZulfainJinhon Nay Paemaan Kiye The MujhsayRifaaqaton Kay Muhabbatoun KayKaha Tha Mujhsay Keh Ae Mussafir RehEWafa KeJahan Bhi Jaae Ga Ham Bhi Aain Gay Saath TerayBanain Gay Raaton Mein Chandani HamTou Din Mein Saae Bakhaer Dain GayWoh Chand Chehra, Sitaara AankhainWoh Meharbaan SaayaDaar ZulfainWuh Apnay Paemaan Rifaaqton Kay Muhabbatoun KayShikasst Kar Kay Ajaane Abb Kis Ki RehGuzar KaMinaarERoshni Hue HainMagar Mussafir Ko Kya Khabar HayWoh Chand Chehra Tou Bujh Geyaa HaySitaara Aankhain Tou So Gaii HainWoh Zulfain BeSaaya Ho Gaii HainWoh Roshni Aur Woh Saae Meri Atta ThaySo Meri Raahon Mein Aaj Bhi HainKeh Mein Mussafir RehEWafa KaWoh Chand Chehra, Sitaara AankhainWuh Meharbaan SaayaDaar ZulfainHazaaron Chehron Hazaaron AankhonHazaaron Zulfon Ka Aik SaelaabETund Lay KarMeray Taqub Mein Aa Rahay HainHar Aik Chehra Hay Chand ChehraHain Saari Aankhain Sitaara AankhainTamaam Hain SayyaDaar ZulfainMein Kis Ko Chahun Mein Kis Ko DaikhoonMein Kis Kay Saae Mein Baeth JaounBachoon Keh Toofaan Me Doob JaounKeh Mera Chehra, Na Meri AankhainMere Khudaya ! Mein Zindagi KayAazaab Likhoon K Khawab Likhoon