Bhagon Main Phir Bahaar Ka Mausam Hai Aa GayaPhir Zindagi Main Pyar Ka Mausam Hai Aa GayaSerson Ka Rang KhilaKhila Haldi Ke Rang SeLagta Hai Phir Ubaar Ka Mausam Hai Aa GayaSharma Ke Laal Ho Gayee Kaliyan Plaas KiSapno Main Intezar Ka Mausam Hai Aa GayaPurvayiyon Ke Haat Phir Mehandi Lagi HuyiDoli Ka, Phir Kahaar Ka Mausam Hai Aa GayaChalki Hai Phir Se Geet Ki Gaagar Kahi NayeeDolak Ka, Phir Sitar Ka Mausam Hai Aa GayaKeh Do Kabeer Se Na Chadariya Bachegi AajRangon Ki Phir Puhaar Ka Mausam Hai Aa Gaya

Jaane Ye Kaun Sa Mausam HaiJaane Ye Kaun Sa Mausam HaiNa Sardiyon Ki Dhoop HaiNa Din Yahan Par Kam HaiNa Thand Ka Koi Bhi Roop HaiNa Mitti Ki Khushbu HaiNa Bheege Yauvan Mein HulchulNa Baadalon Mein Guftagu HaiNa Chai Pakodi Ka Hi Koi PalDhoop Bhi Chilchilaati NahiNa Chaandni Ka Koi AalamNa Jharnon Ki Aarzoo KahinNa Ye Chhuttiyon Ka MausamSarson Bhi Nahi Dikhte HainPatang Asma Me Ab Tak Na Naacha HaiNaye Patte Bhi Kahin Na Ugte HainNa Muskaraata Koi Bhi Raasta HaiJaane Ye Kaun Sa Mausam HaiTum Paas Hokar Bhi Itne Door HoHar Baat Shuru Hone Se Pehle Khatm Hai

Koi Mausam Ho Dil Men Hai Tumhaari Yaad Ka MausamKe Badla Hi Nahin Janaan Tumhaare Baad Ka MausamNahin To Aazma Kar Dekh Lo, Kaise Badalta HaiTumhaare Muskraane Se DilENashaad Ka MausamKahin Se Uss Haseeb Aawaaz Ki Khushbu Pukaare GiTo Uss Ke Saath Badle Ga DilEBarbaad Ka MausamQafas Ke BaamODar Men Roshani Si Aayi Jaati HaiChaman Men Aa Geya Shaayed LabEAazaad Ka MausamMere ShahrEParishaan Main Teri Be Chaand Raaton MenBuhat Hi Yaad Karta Hoon Teri Buniyaad Ka MausamNa Koi Gham Khizaan Ka Hai Na Khawahish Hai Bahaaron KiHamaare Saath Hai Amjad Kissi Ki Yaad Ka Mausam

Badalate waqt ka ik silsila sa lagata haike jab bhi dekho use dusarasa lagata haitumhara husn kisi aadmi ka husn nahikisi buzurg ke sachi dua sa lagata haiteri nigah ko tamiz rangonur kahanmujhe to khun bhi rangehina sa lagata haidamagodil hon agar mutmain to chaon hai dhupthapeda lu ka bhi thandi hawa sa lagata haiwo chat pe aa gaya betab ho ke aakhirkhuda bhi aj sharikedua sa lagata haitumhara hath jo aaya hai hath mai mereab aitabar ka mausam harasa lagata hainikal ke dekho kabhi nafaraton ke pinjare setamam shahar ka “manzar” khula sa lagata haiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Manzar Bhopali

(Jindagi Ne Jindagibhar Ghum DiyeJitane Bhi Mausam Diye Sab Num Diye) – 3(Jab Tadapata Hai Kabhi Apana KoiKhun Ke Aansu Rula De Bebasi) – 2Ji Ke Phir Karana Kya Mujhko Aisi Jindagi – 2Jisane Jakhmon Ko Nahi Marham DiyeJindagi Ne Jindagibhar Ghum DiyeJitane Bhi Mausam Diye Sab Num DiyeJindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye(Apane Bhi Pesh Aaye Hamase AjnabeeWaqt Ki Saajish Koi Samajha Nahi) – 2Beiraada Kuchh Khataaye Hamase Ho GayiRaah Mein Patthar Meri Har Dam DiyeJindagi Ne Jindagibhar Ghum DiyeJitane Bhi Mausam Diye Sab Num DiyeJindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye(Ik Mukkamal Kashamkash Hai JindagiUsane Hamase Ki Kabhi Na Dosti) – 2Jab Mili Mujhko Aansu Ke Woh Tophe De GayiHas Sake Hum Aise Mauke Kam Diye – 2Jindagi Ne Jindagibhar Ghum DiyeJitane Bhi Mausam Diye Sab Num DiyeJindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye