Mausam Ko Mausam Ke Baharon Ne Luta,Kashti Ko Saahil Ke Kinaron Ne Luta.Tum To Darr Gaye Ek Hi Kasam Se,Humein To Tumhari Kasam De Kar Hazaron Ne Luta.
Mausam Ko Mausam Ke Baharon Ne Luta,Kashti Ko Saahil Ke Kinaron Ne Luta.Tum To Darr Gaye Ek Hi Kasam Se,Humein To Tumhari Kasam De Kar Hazaron Ne Luta.
Jhalakti Hay, Tasveer Tari Barish Ki Bondoon Main…Aj Phir Bheeg Baitha, Tujhe Paane Ki Chahat Mein…!!!
Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai,Barish Ke Har Qatre Se Awaz Tumhari Aati Hai.Badal Jab Garajte Hain, Dil Ki Dharkan Badh Jati Hai,Dil Ki Har Ek Dharkan Se Awaz Tumhari Aati Hai.Jab Tez Hawayein Chalti Hai To Jaan Hamari Jati Hai,Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai.
Ye Baarisho’n K MausamBas Tum Hi Se Hyn Wabastak Mohabbato’nMain BaarishBari Lazmi Si Shey HyChahey Aasman Se BarseyChahey ChashmeNam Se
Dard Me Koi Mousam Pyara Nahi Hota,Dil Ho Pyasa To Pani Se Gujara Nahi Hota.Koi Dekhe To Humari Bebasi,Hum Sabhi K Ho Jate Hain Par Koi Humara Nahi Hota.
1 Ladki Ne Kiya Ladke Ko Gaal Pe Kiss 1 Ladki Ne Kiya Ladke Ko Gaal Pe Kiss . . . . . . . . . . . . . .. . .. . . . Mutual Funds Are Subjected To Market Risks……!!!! Wah Wah Wah
Ek Naya Mausam Aaj Phir Aaya HaiAaj Phir Kisi Ne Aankhon Se Ashk Bahaaya HaiChhup Gaye Aansoo Aaj Phir Baarish MeinDil Mein Phir Gham Ka Sailaab Aaya HaiChhupaaye Chal Diye Hum Toh Baarish MeinKoi Hamein Kabhi Kya Samajh Paaya HaiAansoo Ban Kar Aayi Yaad Jo TeriUssi Yaad Ne Hamein Hansaaya HaiBas Kaash Agar Saath Hote TumToh Mausam Yeh Bhi Sau Rang Laaya Hai
Kab Tak Door Bhagoge Ek Din To Baat Honi HaiKhushbu Ki Bhawron Se Mulakat To Honi HaiTadapkar Kar Yun Na Roko Apni Mohabbat KoPyaar Ke Mausam Ki Barsat To Honi Hai
Tujh Se Milnay Ko Kabhi Hum Jo Machal Jaate HainTo Khyalon Me Bohut Door Nikal Jaate Hain Gar Wafaun Me Sadaqat Bhi Ho Or Shiddat BhiPhir To Ahsaas Se Patther Bhi Pighal Jaate HainUski Aankhon K Nashe Me Hain Jab Se DoobeLarKhratay Hain Qadam Or Sambhal Jaate HainBewafayi Ka Mujhe Jab Bhi Khyaal Aata HaiAshk Rukhsaar Pe Aankhon Se Phisal Jaate HainPiyar Me Aik Hi Mausam Hai Baharon KaLog Mausam Ki Tarha Kese Badal Jaate Hain ??
MausamEAbr Ho Subuu Bhii HoGul Ho Gulshan Ho Aur Tuu Bhii HoKab Tak Aaiine Kaa Ye HusnEQubuulMuunh Teraa Is Taraf Kabhuu Bhii HoHo Jo Teraa Saa Rang Gul Kaa HaiDekhen Ham Tab Jab Aisii Buu Bhii HoHai Gar’z Ishq Sirf Hii LekinShart Ye Hai Ke Justujuu Bhii HoSarkashii Gul Kii Sar Nahiin AatiiNaaz Karne Ko Vaisaa Ruu Bhii HoKis Ko Bulbul Hai DamKashii Kaa DimaaghHo To Gul Hii Kii Guftuguu Bhii HoDil TamanaaKadaa To Hai Par “Mir”Ho To Us Kii Hii Aarzuu Bhii Ho
Dekhte Dekhte Kai Mausam Badal Gayae,Auron Ki Kya Baat Karein,Sanam Badal Gayae.Ruswa Mehfil Mein Is Tarah Se Hue,Apnon Ki Bheed Mein Jaise,Hum Badal Gayae.Kagaz Pe Kuchh Lakerein,Haathon Ki Tarah,Mitaa Sakta Hai Har Koi,Karam Badal Gayae.Unki Bewafai Ka Kaise Sikwa Karein,Chhod De Saath “Faqeer”,Sitam Badal Gayae.Teri Zarra Nawazish Ka Dil Se Shukriya,Warna Ae Khuda Jahaan Mein,Reham Badal Gayae.
Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata HaiKisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata HaiFiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza HaiYe Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata HaiBheegi Hoye Raatain Khamosh Si BaatainAisay Main Koch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata HaiBarsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai KhushboYe Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata HaiAisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki BaatYe Mousam Tu Pal Bhar Main Beet Jata Hai
Tumhare gham ka mausam hai abhi taklabetashna pe shabanam hai abhi taksafar mein aabale hi aabale themagar pairon mein damkham hai abhi taktumhare band dar mujh se khafa hainmere jine ka matam hai abhi takteri aabohava ras aa gai thibichad jane ka kuch gham hai abhi takgai rut mein hui thi fasl achiidhar panii gira kam hai abhi takmain khud ko dhundhata phirta hun sab meinjunun ka ik aalam hai abhi takPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Anees Ansari
Dayarenur mein tera shabon ka sathi hokoi to ho jo meri vahashaton ka sathi homain us se jhooth bhi bolun to mujh se sach bolemere mizaj ki sab mausamon ka sathi howo mere naam ki nisbat se mo’atabar thaharegali gali meri rusvaiyon ka sathi homain us ki hath na aaun wo mera hoke rahemain gir padun to meri pastiyon ka sathi howo khwab dekhe to dekhe mere havale semere khayalon ki sab manzaron ka sathi ho Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Iftikhar Arif
Saawan Ka Mausam ThaPoonam Ki Raat ThiMein Uske Paas ThaWoh Mere Karib ThiFir Woh Mere Paas AayiAur Thodi Si GhabraayiJab Meine Uska Haath PakadaTo Woh Thodi Si SharmaayiUsne Kaha Aaj HumAise Bandhan Me Bandh JaayeJise Duniya KiKoi Taakat Na Tod PaayeMeri Khushi Ka AndaazaLagana Mushkil ThaPar Iske Aage Jo HuaWoh Batana Bhi Mushkil HaiUsne Mera HaathHaatho Me Lekar KahaYeh To Janam JanmoKa Bandhan HaiPhir Mujhe Yaad AayaWoh Saawan Ka MausamWoh Poonam Ki RaatYeh To Raksha Bandhan Hai!