Kya ghazab hai ke uss ki khamoshi, Mujh se batain hazaar karti hai..

Toot jata hai zakhamon ka zour, Hans ke lete hain jab woh angrrayi..

In me khatraa hai dooob jaaney ka, Jhaankiye mat janaab ankhon mein..

Saarey chehron mein neyaa lagta hai, Woh mujhe sab se judaa lagta hai..

Phool ban kar khil uthi hai zindagi, Yeh bohat acha hua ke tum agaye ..

Itni dilkash thi kahaan ye zindagi, Ham ne jab tak aap ko chaaha na thaa..

Tum Ko Uljhaa Ker Kuch Sawaalon Mein, Maine Jee Bhar Ke Tum Ko Dekh Liya..!!

Apne andaaz aayiney mein dekhte hain woh, Aur yeh bhi dekhte hain koi dekhta na ho..

Tu mila hai to yeh ehsaas hua hai mujh ko, Yeh meri umar mohabbat ke liye thori hai..

Galat ho aap ka vaada koi, Khuda na kare, Magar khuzoor ko aadat hai bhool jaane ki..

Subaah ke waqt ik dhulaa chehra, Ik alag naghmaa* dikhaayi deta hai.. (naghgmaa;soundtrack)

Rukey to chand, Chale to hawaaon jesa hai, Woh shakhss dhoop mein dekho to chaaon jesa hai.

Aap pehlu main jo bethen to dil thaam ke bethen, Dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane ki..

Khawb khush khush kattney ka mashwra dete huye, Ro parra woh khud mujh ko hausla dete huye..

Parr geya parda samaa’at per teri awaz ka, Aik aahat kitne hangaamon per haavi ho gayi..