Yeh maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti, Na tujhe qaraar hota, na mujhe qaraar hota.. Dagh

Mein jo sard hathon se choota tha tere gaalon ko, Yaad ayegi tujhe december mein shararat meri..

Adaa hai khawb hai taskeen hai tamaasha hai, Hamari aankhon main aik shakss be’tahasha hai..

Uss Shoki-e-Guftaar Pe Aata Hay Bohat Piyar, Jab Pyar Say Kehti Hai Wo, Shaitaan Kahee’n Ka..!

Un ko gharoor-e-hussn hai, mujh ko gharoor-e-ishq, Woh bhi nashy mein choor hain, mein bhi piye huye..

Bay niaazi hud sa guzri banda parwar kab talaq, Hum kahain gay haal e dil or aap farmayain gay kiaa ..

Puraaney sheher ke manzar naye lagne lage mujh ko, Tere aaney se kuch aesi fizaay-e-sheher badli hai..

Mila k haath ek roz khud hi daaman chudhaa liya usne, Wahi ladki jo kabhi aagosh me sone ki zid karti thi……

Kaajal, Aankhe’n, Zulfe’n, Jhhumke, Chahra, Bindiya, Haaye dil haar gaye hum tujhe be-naqaab dekh kar…..

Tujh akela parrhoon koi hum’sb* na rahe, Main chahta hoon tujh pe kisi ka haq na rahe.. (hum’sb;sharers, baanttne wale)

Rehnewalon Se Nahi, Jaanewalon Se Pucho Ki Zindgi Kya Cheez Hoti Hai. Panewalon Se Nahi, Khonewalon se Pucho Ki Izzat Kya Cheez Hoti hai. Amiron Ko Kya Dekthe Ho, Zara Garibon Se Pucho Ki Daulat Kya Cheez Hoti Hai, Arre Jiss Ne Dil Diya Hai Usse Nahi, Jiska Dil Toota Hai Usse Pucho Ki Mohabbat Kya Cheez Hoti Hai.

Tanhai hai pyar mein Barbaadi hai pyar mein Aansoon hai pyar mein Bebasi hai pyar mein Gam bhi hai pyar mein Haar bhi hai pyar mein Hamein sab pata hai Lekin kya kare Hum bhi hai pyar mein! When I die and go to Heaven , I will put your name on a golden star, so that all the angels can see how much you mean to me!

Rehnewalon Se Nahi, Jaanewalon Se Pucho Ki Zindgi Kya Cheez Hoti Hai. Panewalon Se Nahi, Khonewalon se Pucho Ki Izzat Kya Cheez Hoti hai. Amiron Ko Kya Dekthe Ho, Zara Garibon Se Pucho Ki Daulat Kya Cheez Hoti Hai, Arre Jiss Ne Dil Diya Hai Usse Nahi, Jiska Dil Toota Hai Usse Pucho Ki Mohabbat Kya Cheez Hoti Hai.

Tumhara pyaar meray char soo abhi tq hy Koi hisaar meray char soo abhi tq hy Bicharty waqt jo tm saunp k gaye thy mujhy Wo intizar meray char soo abhi tq hy May ab bhi girty huye paniyon ki qaid may hon Ik aabshar meray char soo abhi tq hy Koi gumaan mujhy tm sy door kaisy karay K aitbaar meray char soo abhi tq hy

Tum say manzil ka nahi rishta safar ka hai mera Ye zaroori to nahi Sath challa bhi jayee Ye zaroori to nahi Tum say milla bhi jayee Ishq deedar ka muhtaj nahi hota Aik ahsaan ka rishta hai ye khushboo ki tarahan daikhnay choonay say ady kisi jadoo ki tarahan Sirf awaz hi kafi hai muhabbat k liye Aur sab kuch hi azafi hai muhabbad k liye..