Pehle pehal ka ishaq abhi yaad hai FRAZ Dil khud ye chahta tha ke Ruswaiyan bhi hon…

Yeh dil buraa sahi sar-e-bazaar to na kehh, Aakhir tu iss makaan me kuch din raha to hai..

Kis tarah daman e dil us se bachain neer, Hum hain is door k yousaf to zulaikha hai sharab.

Roz gir jati hai dewar teray waad’on ki! Roz hum mout key saey mein raha kertay hein..

Umeed e yaar , nazar ka mizaj , dard ka rang , tum aaj kuch bi na poocho k dil udas bohat hay.

Doob jana to koi baat nahi hai lekin! Bais-e-sharam hi toofa’n sey haras’an hona..

Yeh ik ishaara hai aafaat-e-nagehaani ka, Kisi jagah se parindon ka kooch kar jana.. Alim Taa

Barson Bad B Zid Ki Aadat Na Badli….; Kaash Hum Muhabbat Nahi Us ki Aadat hote….!!

Yeh jo sargashta se phirtey hain kitaabon waley, In se mat mil ke inhe rog hain khawbon waley..

Hai dil k liye mout, masheeno’n ki hakumat! Ehsaas-e-murawwat ko kuchal daity hain aalaat!

Dekhta hoon sab shaklen sun raha hoon sab batain, Sab hisaab in ka main aik din chukaa doon ga..

Howa Hai Tujh Se Bicherney Ke Baad Ab Maloom,, Ke Tu Nahin Thaa Tere Sath Ek Dunya Thi …!!!

Parindon mein kabhi firqa parasti nahin dekhi, Kabhi mandir pe ja bethey, Kabhi masjid pe ja bethe..

sikandar khush nhy hey loot ker dolat zamaney kii qalandar dono hathoon sey lutaa ker raqss kerta hy

Saza ye hai k AnkhOun se Cheen Li Neendein, Jurm Ye Tha Ke Tumhare Saath Jeene Ke Khuwab Dekh Bethy?