Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata, Wo yar hamara kaisa hai? Jo bhool gaya hum ko kab se, Wo jaan se pyara kaisa hai ? Kia us ko jeewan lamho mein, Koi lamha mera baqi hai ? Kia uski jaagti aankhon main, Meri yaad se phaili udasi hai ? Kia wo bhi meri tarah yun hi, Shab bhar jaga kerta hai ? Kia wo bhi saya-e-rehmat main, Hamain RAB se manga karta hai ? Agar aisa nahi to tu hi bata, Hum yaad use Kion kertay hain ? Wo humse bicher ker khush hai agar, To hum pal pal kion marte hain ?

Taaron Ko Muhbat Amber Say,phoolon Ko Muhbat Shabnam Say, jaisay Dil Ko Muhbat Dilbar Say? Humen Aesi Muhbat Hai Tum Say..! Ankhon Ko Muhbat Kajal Say, Sawan Ko Muhbat Badal Say, pairon Ko Muhbat Pa?yel Say?. Humen Aesi Muhbat Hai Tum Say..! Hathon Ko Muhbat Kungan Say, Mehndi Ko Muhbat Dulhan Say, sanson Ko Muhbat Dharkan Say?. Humen Aesi Muhbat Hai Tum Say..! Ankhon Ko Muhbat Khuwabon Say, Khuwabon Ko Muhbat Raaton Say, raaton Ko Muhbat Yadon Say?. Humen Aesi Muhbat Hai Tum Say..!!

Tere dam se hi jaan he wallah Jaan he to jahaan he wallah Zakhm khaaye to muddaten guzri Dil pe ab tak nishaan he wallah Din yahi to he dil laga ne ke Aarzoo jab jawaan he wallah Jab wo mehfil me be-hijaab aae Kis ki jaa?n ko amaan he wallah Jab se aaye qadam tere, dil me Ye zamee?n aasmaan he wallah Zakhm khakar bhi muskurate hain Ishq waalon ki shaan he wallah Ishq, or khoo?n-baha ka talib ho? Kitna fasid gumaan he wallah Gham ki aandhi me dil ki hasti kya Ek purana makaan he wallah Kyun le dawaa-e-dil tujhse Us ki apni dukaan he wallah

is bar dil ny tujhsy na milny ki thani hai par maeny kab kisi ki koi bat mani hai aik subha teray sath nikalna hai rat sy aik sham teray sath kisi din manani hai aik bhaid kholna hai mujhy tery ro-baro aik bat hai jo maeny tujhko batani hai mujhy ko b taray toor k lanay ka hai janoon maeny b asman ki buht khak cahni hai usky liay b shahar basana hai mujhy apny liay b aik naai duniya banani hai jo kuch mae likh raha hon wo rodad hai meri tum parh sako to phr ya tmhari kahani hai kehta hai koi aa, issay phr sy likhain ? ya dastan-e- ishk buht hi purani hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.. Meri rooh mujh se bichar jane ko hai Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha Woh bandhan pal mein toot jane ko hai Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.. Sokoon dil barbaad ho jane ko hai Raapte socho ke simat jane ko hai Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.. Qurbato ke nisha mit jane ko hai Faasle dooriyu mein badal jane ko hai Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai

Koi har gya koi jeet gya, ye saal b akhir beet gya..! Kabi sapny sjaye ankho me kabi beet gae pal baton main, kuch talkh sy lamhaat bhi they, kuch haadsey aur sadmat bhi they, kuch berukhi kuch becheni, kuch mun main simti weeraani. Kuch lamhe thy yadgaar bht, kuch lamhon ko brbaad kia.. Per ab k baras, RUB se dua ha ye , koi pal na apka udas guzry, koi rog na apko raas guzry, ap pholon ki trha khila kreyn, koi shakhs na ap se gila kry, ap khush rho abad rho, apka khwab ngar abad rhy, ap jo chahy wo ho jay, ap jo mango wo mil jay, apki maf wo hr ik khata kry, apko asey hi Rab ata kry. AMEEN.

Yehe wada lia tha na! hamesha khoosh he rehna hai.. tou dekhoo! dekh lo aakar!!! meri aankhoon ko dekhoo tum ye kitni shookh lagti hein meray hoontoon ko dekhoon tum hamesha muskurateen hein? ko?e bhee ghum aagar aaya usay hans ker saha mein nay?. meray chahray ko dekhoo tum hamesha pursakoon hoga? tou socho gay!!! kia tha jo tum say wada mein nay, wo ker dia pura magar aik baat phir bhee hai!!! kabhee jo waqt mil ja?ey tou meri shaeeri pharhana tumheen mehsos tou hoga kaheen talkhee bhara lehja! kaheen peh serd sa lehja! kaheen peh dard ki jheelein! kaheen lehjay ki karwahat! sonno!!! mein khoosh tou hoon lekin Laho her lafz rota hai?.!!!

Kab se khamosh si ghum sum si.. yunhi bethi hoon?.. Samne khat hai tera.. aur dil ke angan mein Mausam-e-dard.. dabey paoun chala aya hai Aur zakhmon ki fasal ab ke bahut achi hai Baaton baaton mein lage dil pe jo, uss baat ka zakham Dil ki mundheron pe jam jaye jo, uss raat ka zakham iss siyahi mein jo ghum hugaya uss saath ka zakham Jo yaqeen toot ke tabdeel huwa rezoon mein?. ruhh mein chubte khatakte huwe zaraat ka zakham Tum ne likha hai ke.. tum zaat ke zakhmon ko sehna seekho.. Tum bhi auroon ki tarha duniya mein rehna seekho Mashvara hai tu bahut khoob magar?????. Essi duniya se kahaan meri shanasayi hai Yeh tera khat hai ke Zakham-e-maseehayi hai?

Labo?n Py Naam Rakhny Sy Dilo?n Mein Yaad Karny Sy Har Ek Dhadkan, Har Ek Tadpan Kisi Ke Naam Karny Sy Koi Apna Nahin Banta?!!! Tamam Umr Ki Khushiya?n Mohabbat Ki Sabhi Ghadiya?n Kisi Ko Daan Karny Sy K, Uss Py Maan Karny Sy Koi Apna Nahin Banta?!!! Wo Pehly Pyar Ki Baatei?n Rafaqat Ki Sabhi Raatei?n Wo Chahat Ki Sabhi Rasmei?n Mohabbat Ki Sabhi Qasmei?n Humesha Yaad Rakhny Sy Koi Apna Nahin Banta?!!! Kisi Tanha Akeli Raah-Guzar Par Purany Sy Kisi Boodhey Shajar Par Patthar Sy Koi Dil Banany Sy Aur? Us Mein Apna Aur Kisi Ka Naam Sajany Sy Koi Apna Nahin Banta?!!! K Jab, Aankhei?n Hi Mar Jaaye?n Tou Phir Sapna Nahi Banta Ye Jeewan Daan Kar Jaaye?n Tou Bhi Apna Nahi Banta Koi Apna Nahin Banta?!!!

~ Mujhy Bass Itna Kehna Hai ~ Kabhi Main Yaad Aao?n Tou Kabhi Tanhai Ki Raatei?n Tumhei?n Zyada Sataei?n Tou Kabhi Titli Na Bole?y Tou Kabhi Jugnoo Laut Jayei?n Tou Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaaye Tou Koi Jab Sun Na Paaye Tou Agar Sab Dost Saathi Bhi Jo Tum Sy Rooth Jayei?n Tou Kabhi Jab Khud Sy Lad Lad Kar Thakan Sy Choor Ho Jao Tou Kabhi Chahty Bhi Huey Akeley Ro Na Pao Tou Apni Aankho?n Ko Band Karna Mujhy Aawaz Dena Aur?!!! Phir Mere Tasawur Sy Jo Chaho Keh Dena Mere Kaandhy Py Sar Rakh Kar Tum Jitna Chaho Ro Lena Phir Jab Khud Mein Laut Jao Tou Issi Dunya Mein Chaley Jana Magar Bass Itna Kehna Hai K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyo?n Mein Humei?n Dil Sy Pukaro Gy Humei?n Saath Pao Gy Humei?n Paas Pao Gy?.!!