Kaash Tum Mujhe Ek Khat Likh Dete; Mujhme Kya-Kya Thi Kami Yeh To Bata Dete; Tadapte Dil Se Mere Tumne Nafrat Kyon Kee; Nafrat Kee Hi Mujhe Koi Wajah To Bata Dete

Main Kise Suna Raha Hoon Ye Ghazal Mohabbaton Ki; Kahin Aag Saazishon Ki Kahin Aanch Nafraton Ki; Koi Baagh Jal Raha Hai Ye Magar Meri Dua Hai; Mere Phool Tak Na Pahunche Ye Hawa Tamazaton Ki

Ek ye khwaahish ke koi zakhm na dekhe dil ka; ek ye hasrat ke koi dekhne wala hota

Dil Main Uthe Armaan Ke Toh Kya Kahne; Hum Toh Apni Shayari Bhi Unse Chhupate Rahe

Tasveer Maine Maangi Thi Shokhi To Dekhiye; Ek Phool Us Ne Bhejj Diya Hai Gulaab Ka

Socha Tha Usse Bichhdenge Toh Mar Jaayenge; Jaan Leva Khauf Tha Bas Hua Kuch Bhi Nahi

Ya Rab Dil-E-Muslim Ko Woh Zinda Tammanaa De; Jo Qalb Ko Garma De Jo Rooh Ko Tarpaa De

Khuda To Milta Hai Insaan Hi Nahin Milta; Yeh Cheez Woh Hai Jo Dekhi Kahin Kahin Maine

Bas Itni Guzarish Hai Mohabbat Mein Mere Maula; Mujhe Nakaam Hone Se Zara Pehle Uthaa Lena

Sirf Ek Baar Apne Honthon Se Mujhe Apna Keh Do; Phir Mehfil Mein Raqeeboon Ka Tamasha Dekho

Mery Sajdon Mein Kami To Na Thi Mere Mola Kya Mujh Se Bhi Barr Ke Kisi Ne Manga Tha Ussey?

Ab Tak Toh Khair Teri Tamanna Mein Katt Gayi; Tu Mil Gaya Toh Sochta Hoon Kya Karon Ga Main

Deedar Ki Talab Ho Toh Nazarein Jamaye Rakhiye; Kyunki Naqaab Ho Ya Naseeb Sarakta Zaroor Hai

Ae Kaash Kahin Qudrat Ka Yeh Nizaam Hua Kare; Tujhe Dekhne Ke Siwa Na Mujhe Koi Kaam Hua Kare

DARD ki barisho me hum akele hi the
JAB barsi khushia Na jane bhiad kaha se aa gayi