Honton pe kabhi un ke mera naam hi aayeaaye to sahi bar-sar-e-ilzam hi aayehairan hain labbasta hain, dilgir hain gunchekhushbu ke zubani tera paigam hi aayelamhat-e-masarrat hain tasavvur se gurezanyaad aae hain jab bhi gam-o-alam hi aayetaron se saja lenge rah-e-shahar-e-tamannamaqadur nahi subho chalo sham hi aayeyadon ke vafaon ke aqidon ke gamon kekam aaye jo duniya mein to is naam hi aayekya rah badalne ka gila hamsafaron sejis rah se chale tere dar-o-bam hi aayethak har ke baithe hain sar-e-ku-e-tamannakam aaye to phir jazba-e-nakam hi aayebaqi na rahe sakh “ada” dasht-e-junun kedil mein agar andesha-e-anjam hi aaye

Your Comment Comment Head Icon

Login