Bichar Kar Aap Se Humko,Khushii Achchii Nahii LagtiiLabon Par Yeh Banaawat Kii Hansii Achchii Nahii LagtiiKabhii To Khoob Lagtii Thii Magar Ye Sochtii Hoon AbKe Mujhko Kyon Merii Ye Zindagii Achchii Nahii Lagtii?Tirii Maujoodagii Mein To Mujhe Har Baat Bhaati Thi‘Terii Furqat Mein Koii Baat Bhii Achchii Nahii LagtiiKo’ii To Saaz Chhere, Ko’ii To Naghma Idhar Goonje!Bharii Mehfil Mein Itnii Khaam’shii Achchii Nahii LagtiiKabhii Hum Bhii Huaa Karte The Baadaakash Magar Jab SeTujhe Dekha Hai Tab Se Maikashii Achchii Nahii LagtiiZara Tuu Paas Aa,Main Ponchh Doon Ashkon Ko Pallu SeTirii Maasoom Aankhon Mein Namii Achchii Nahii LagtiiMiree Aankhon Ne Jab Se Jeena Seekhaa Hai Andheron MeinKisii Bhii Qism Kii Ho Raushnii,Achchii Nahii LagtiiMujhe Har Gaam Pe Dukh,Dard,Ranj-O-Gham Mile LekinKhudaaya Aur Ab Uftaadgii Achchii Nahii Lagtii!Na De Har Vaqt Tuu Dastak Mire Darvaaza-E-Dil Par!K Ab Mujh Ko Yeh “Tarz-E-Dil-Lagii” Achchhi Naheen LagtiiAgar Tum Chaah Sakte Ho,To Dil Se Chaaho Mujhko TumMohabbat Mein Merii Jaan Bedilii Achchii Nahii LagtiiJhijhakte Kyon Ho Kehne Se?Humein Maaloom Hai Sab Kuch!K Tum Ko Ab HAMAARI Dostii Achchhi Naheen Lagtii!

Your Comment Comment Head Icon

Login