Is Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein; Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein; Tu Bhi Heere Se Ban Geya Pathar; Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein

Mujhse Na Sahi Gairon Se Hi Sahi; Tumhein Dil Ko Lagana Aa To Geya; Duniya Mein Kisi Ke Tum Ho To Gaye; Chalo Tumhein Pyaar Nibhana Aa To Geya

Itna Chhota Nahi Rista Hamara; Kaise Soch Liye K Aa Gaya Kinara; Lo Fir Ho Gayi Aap K Aangan Me Roshni; Ek Baar Fir Badnaam Ho Gaya Naam Hamara

Woh ruthte rahe hum manate rahe Unki raahon me palkein bichate rahe Unhone kabhi palat ke bhi na dekha Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe

Jo Pyaar Kar Ke Humein Barbaad Karte Hain; Unko Kabhi Khushiyan Kaise Milegi; Hum To Unko Jee-Jaan Se Chahate Hain; Unko Humse Bad-dua Kaise Milegi

Koi Gila Koi Shikwa Na Rahe Aapse; Yeh Aarzoo Hai Ki Silsila Rahe Aapse; Bas Is Baat Ki Badi Umeed Hai Aapse; Khafa Na Hona Agar Hum Khafa Rahein Aapse

Is Kadar Hum Yaar Ko Manane Nikle; Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikle; Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha; To Uske Hothon Se Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle

Chahe Jitna Hanslo Aaj Mujh Par Mein Bura Nahi Manooga; Is Hansi Ko Apne Dil Mein Basa Loonga; Aur Jab Yaad Aayegi Tumhari; Yahi Hansi Lekar Thoda Muskura Loonga

Mohabbat Kee Daastan Sunane Aaye Hain; Tabah Karne Ke Baad Woh Pyaar Jatane Aaye Hain; Aansu Ponch Liye The Hum Ne Kab Ke; Magar Woh Fir Se Aaj Hume Rulane Aaye Hain

Koi Dhokha Nahi Aisa Jo Na Khaya Hum Ne; Zindagi Bhar Tera Saath Nibhaya Hum Ne; Kabhi Mehnat Ka Silaa Apni To Paya Hi Nahin; Chaaon Auron Ko Mili Pedh Lagaya Hum Ne

Ye Nahi Gam Ke Qasam Apni Bhulai Tum Ne; Gam Te Ye Hai Ke Raqeebon Se Nibhai Tum Ne; Koi Ranjish Thi Ager Tum Ko To Mujh Se Kehte; Baat Apas Ki Kiun Sab Ko Batai Tum Ne

Mohabbat Se Rihaa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Wafaa Ke Tazurbey Karte Hue To Umar Guzri; Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Geya Hai

Deewana Mat Kaho Mujh Ko Yun Achha Nahi Lagta; Bada Afsos Hota Hai Jab Koi Apna Nahi Lagta; Lagta Hai Ki Hogi Uski Bhi Kuch Majboori; Uska Yun Chhod Kar Jana Achha Nahi Lagta

Iss Dunya Mein Jo Humko Dil Ke Hain Rog Mile; Khushiyon Ki Talaash Mein Jo Humko Hain Sog Mile; Matlabi Zamane Kee Matlabi Galiyon Mein; Doston Ke Roop Mein Sab Dushman Log Mile

Apni Aankhon Ke Samandar Main Utar Jaane De; Tera Mujhrim Hoon Mujhe Doob Ke Mar Jaane De; Zakhm Kitne Diye Hain Teri Chaahat Ne Mujko; Sochta Hoon Tujh Se Kahoon Magar Jaane De