Khafa Bhi Rehte Hain Aur Wafa Bhi Karte Hain; Is Tarha Apne Pyaar Ko Bayan Bhi Karte Hain; Jane Kaisi Narazgi Hai Meri Unse; Khona Bhi Chahte Hain Aur Pane Kee Dua Bhi Karte Hain

Tumne Dekha To Humein Pyaar Se Bas Itna Hi Sahi; Tera Bas Ho Geya Deedar Bas Itna Hi Sahi; Tera Aashiq Hun Tumne Humein Chaha Na Sahi; Kabhi Mujhko Pehchaan Liya Bas Itna Hi Sahi

Ishq Qaatil Say Bhi Maqtool Say Hamdardi Bhi; Yeh Bta Kis Say Mohabbat Ki Jaza Mangay Ga; Sajda Khaaliq Ko Bhi Iblees Say Yarana Bhi; Hashr Mein Kis Say Aqeedat Ka Sila Mangay Ga

Karoge Yaad Tum Ki Main Kehta Tha Kabhi; Daulat Aur Mohabbat Ka Na Kabhi Bhi Mel Hota Hai; Hoti Hai Jinke Liye Daulat Hi Sab Se Badhkar; Unke Liye To Yeh Mohabbat Bas Ek Khel Hota Hai

Galtiyon Se Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi; Dono Insaan Hain Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi; Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Deta Hun Magar; Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Ek Se Silsile Hain Sab Hijr Kee Rut Bata Gayi; Phir Wahi Subah Aayegi Phir Wahi Sham Aa Gayi; Mere Lahoo Mein Jal Uthe Utne Hi Taza Dam Chirag; Waqt Kee Sazishi Hawa Jitne Diye Bujha Gayi

Ai Maut Main Tujhe Gale Lagana Chahta Hun; Kitni Wafa Hai Tujh Mein Yeh Aazmana Chahta Hun; Rulaya Hai Bahut Duniya Mein Logo Ne Mujhe; Mile Jo Tera Saath To Main Logo Ko Rulana Chahta Hun

Rasam-e-Wafa Nibhana To Gairat Kee Baat Hai; Wo Mujhko Bhool Jayein Yeh Hairat Kee Baat Hai; Sab Mujhko Chahte Hain Shohrat Kee Baat Hai; Bas Wo Humein Nahi Chahte Yeh Hamari Kismat Kee Baat Hai

Kabhi Unki Yaad Aati Hai Kabhi Unke Khawab Aate Hain; Mujhe Satane Ke Saleeke To Unhe Behisab Aate Hain; Qayamat Dekhni Ho Agar Chale Jana Kisi Mehfil Mein; Suna Hai Ki Mehfil Mein Woh Be-Naqab Aate hain

Teri Baatein Hi Sunane Aaye; Dost Bhi Dil Dukhane Hi Aaye

Dil Gaya Raunak-e-Hayat Gai; Gumm Gaya Saari Kayanaat Gai

Humne Wajood Apna Kho Liya; Unka Wajood Apne Saath Jodte-Jodte

Kar Rahaa Tha Gham-e-Jahaan Ka Hisaab; Aaj Tum Yaad Behisaab Aaye

Aadatan Aa Gaya Hun Maqtal Mein; Mere Kaandhe Pe Ab Toh Sir Bhi Nahi

Yeh Dekha Ki Main Ja Rahi Hoon Kahin; Andhera Hai Aur Rah Milati Nahi