Baraay-e-naam sahi koi meherban to hai,Hamare sar pe bhi hone ko aasmaan to hai,Teri faraakh-dili ko duaaen deta hun,Mere labon pe tere lams ka nishaan to hai,Yeh aur baat k woh abb yahan nahin rehta,Magar yeh us ka basaaya hua makaan to hai,Ilaawa is k na kuch aur parda rakh mujh se,Faseel-e-jism mere tere darmiyaan to hai,Bichharr k zinda nahin reh sakenge hum dono,Mujhe yeh vehem to hai un ko yeh gumaan to hai,Saron pe saaya-figan abr-e-aarzu na sahi,Hamare paas seraabon ka saayabaan to hai,Gul-e-muraad nahin sung-haaye-tifl sahi,Ghareeb-e-sheher ka aakhir kisi ko dehaan to hai..

Your Comment Comment Head Icon

Login