Yun hairani se na dekh bigri surat koMain bhi kabhi mahfil ki shan hua karta thaBat sirf aapki nahi jo gam na karuHar dil ka kabhi mehman hua karta thaAfsurda chehra se ab log kyon na katrayeMuskan hi meri pahle pahchan hua karti thiMere gulshan ko khija kar diya jisne wahiChaman kabhi mera bagwan hua karta thaAb bhi mujhe yad hai judai ke dinDidar hi dildar ki jan hua karti thiKhanjar laye hai wah aastin main chhupakarJan meri jinke liye arman hua karti thiMarte hain wo bhi pathar mere diwanepan peJiske liye gamkhor kabhi eman hua karta tha..

Your Comment Comment Head Icon

Login