junuun-e-shauq ab bhii kam nahiin haimagar vo aaj bhii barham nahiin haibahut mushkil hai duniyaa kaa sanvarnaaterii zulfon ke pech-o-kham nahiin haibahut kuchh aur bhii hai jahaan meinye duniyaa mahaz gham hii gham nahiin haimerii barbaadiyon ke hamnashinontumhein kyaa khud mujhe bhii gham nahiin haiabhii bazm-e-tarab se kyaa uthuun mainabhii to aankh bhii purnam nahiin hai‘ilyas’ ek baadaakash to hai yaqiinanjo ham sunte the vo aalam nahiin hai

Your Comment Comment Head Icon

Login