Ek bewafa jisne tanhai ka manjar nahi dekha
Afsos mere dil ke andar nahi dekha
Mujhe dekhkr usne patthar bata diya
Me mom tha chukar nahi dekha

Koi Vaada Nahi Phir Bhi Tera Intezar Hai; Judai Ke Baad Bhi Humein Tujhse Pyaar Hai; Tere Chehre Kee Udasi Kar Rahi Hai Bayaan Dastaan; Ki Mujhse Milne Ke Liye Tu Bhi Bekarar Hai

Baate Kehne Ko Dil Karta Hai
Darde Judai Sehne Ko Dil Karta Hai
Kya Kare Kismat Me Hai Duriya
Warna Hamara To Apke Dil Me Rehne Ko Dil Karta Hai.

Aankho ki gehrai ko samaz nahi sakte
Honto se hum kuchh keh nahin sakte
Kese bya kre hm apko yeh dil ka haal
Ki tumhi ho jiske bageir hm rh nhi skte

Ajeeb Saanehaa Guzraa Hai Mujh Pe Aaj Ki Sham; Main Aaj Shaam Tumhare Hijar Main Udaas Na Tha; Ab Aik Saal To Yeh Aik Gham Hi Kaafi Hai; Tumhari Salgiraah Par Bhi Tumhare Paas Na Tha

Kadmo Kee Doori Se Dilon Ke Fansle Nahi Badhte; Door Hone Se Dil Ke Ehsaas Nahi Marte; Kuch Kadmon Ka Fansla Hi Sahi Hamare Beech; Lekin Aisa Koi Pal Nahi Jab Hum Aapko Yaad Nahi Karte

Na Woh Aaye Aur Na Koi Unka Paigaam Aaya; Intezar Mein Apne Tadapa Kar Humein Hai Rulaya; Humse Khataa Hui Agar Koi Tum Bata Toh Dete; Aisi Bhi Kya Naraazgi Thi Jo Humein Aapne Bhulaya

Judai Aapki Rulaati Rahegi
Yaad Aapki Aati Rahegi
Pal Pal Jaan Jaati Rahegi
Jab Tak Hai Jism Me Jaan
Har Saans Apka Saath Nibhati Rahegi.

Unki Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hai,
Is Tarah Judai Ka Gam Mita Leta Hai,
Kisi Tarha Zikar Ho Jaye Unko Toh,
Hass Kar Bheegi Palkein Jhuka Leta Hai.

Laazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koi Din Aur; Tanha Gaye Kyon Ab Raho Tanha Koi Din Aur Translation: Our paths had to cross again some other day Going alone now stay alone until some other day

Shikayat Kya Karun Dono Taraf Gham Ka Fasana Hai; Mere Aage Mohabbat Hai Tere Aage Zamana Hai; Pukara Hai Tujhe Manzil Ne Lekin Main Kahan Jaun; Bichhad Kar Teri Duniya Se Kahan Mera Thikana Hai

Kisi Sham Mujhe Tut Ke Bikhrte Dekho
Meri Rooh Me Zehar-E-Judai Ko Utarte Dekho,
Kis-Kis Ada Se Tumhe Manga Hai Rabse,
Aao KabHi Mujhe Sajde Me Sisakte dekho.

Door Nigahon Se Baar Baar Jaaya Na Karo
Dil Ko Is Kadar Tadpaya Na Karo
Tum Bin Ek Pal Bhi Jee Nahi Sakenge Hum
Ye Ehsaas Baar Baar Dilaya Na Karo
=RPS

Unke intejaar ke maare hain hum,
Bus unhi ki yaado ke sahare hain hum,
Duniya jeet ke humein karna kya hain ab,
Jise duniya se jeetna tha usi se hare hain hum.

Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai; Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai; Mein Tujhse Door Kaisa Hoon Tu Mujhse Door Kaisi Hai; Yeh Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai