Dil Ke Sehraa Mein Kab Aalam-E-Tanhai Hai; Jab Bhi Dekha Teri Tasveer Nazar Ayi Hai

Mitt Chale Meri Umeedon Kee Tarah Harf Magar; Aaj Tak Tere Khaton Se Teri Khushbu Na Gayi

Tujh Se Bichad Ke Hum Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye; Phir Jo Bhi Dar Mila Hai Ussi Dar Ke Ho Gaye

Tujh Se Bicharr Ke Hum Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye; Phir Jo Bhi Dar Mila Hai Ussi Dar Ke Ho Gaye

Awaaz Mein Thehrao Tha Ankhon Mein Nami Si Thi; Aur Keh Raha Tha Maine Sab Kuch Bhulaa Diyaa

Is Khayaal Se Hi Har Shaam Jald Neend Aayi; Mujh Se Bichrre Hue Log Sheher-e-Khawab Mein Hain

Jaa Chuke Hain Sab Aur Wahi Khamoshi Chaayi Hai; Pass Hain Har Aur Sannata Tanhai Muskurai Hai

Kaise Guzarti Hai Meri Har Ek Sham Tere Bagair; Agar Tu Dekhle To Kabhi Tanhaa Na Chhodti Mujhe

Bhule Hain Rafta Rafta Unhein Muddaton Mein Hum; Kishton Mein Khudkhushi Ka Mazaa Hum Se Puchiye

Katt Hi Gayi Judayi Bhi Kab Yeh Hua Ki Mar Gaye; Tere Bhi Din Guzar Gaye Mere Bhi Din Guzar Gaye

Choro Yeh Baat Miley Zakham Kahan Kahan Se Mujhe
Ay Zindagi Itna Bata Aur Kitna Safar Baqi Hai

Band Tha Darwaaza Bhi Aur Ghar Mein Bhi Tanhaa Tha Mein; Tu Ne Kuch Mujh Se Bola Tha Ya Aap Hi Bola Tha Mein

Tumhare Baad Na Takmeel Ho Saki Apni; Tumhare Baad Adhoore Tamam Khawab Lage Translation Takmeel = Completion

Shaam Se Aaj Saans Bhaari Hai Bekaraari Hi Bekaraari Hai; Aapke Baad Har Ghadi Humne Aap Ke Saath Hi Guzaari Hai

Yeh Samaat Ka Bharam Hai Ya Kisi Naghmey Ki Goonj; Aik Pehchaani Si Awaaz Aati Hai Mujhey Translation: Samaat = Hearing