Har Kisi Yad Nay Har Raat Bhar Hay Jagaya Mujh KoKiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh KoDin Ko Aaram Hay Na Rat Ko Hay Chain KabhiJanay Kis Khaak Say Qudrat Nay Banaya Mujh KoDukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair SabhiJo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh KoJab Koi Bhi Na Raha Kandha Meray Ronay KoGhar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh KoUoon To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay KoiPhir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh KoBewafa Zindagi Nay Jab Chorh Diya Hay TanhaMaot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh KoWoh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha KabhiGham Ki Andhi Nay Sar-E-Sham Bujhaya Mujh KoKaisay Bhoolon Ga Wohi Wasl Kay LamhayYad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko

Karen Hum Laakh Chahen Koshishen LekinMohabbat Ho Hi Jati HaiHamari Zindgi Jo Rasta Hai EkHamen Is Raah Per Chalte HoyeYe Mil Hi Jati HaiMohabbat Talkh Hoti HaiMagar Her Hal Main Hum KoMohabbat Ki Sabhi In Talkhioun Ko Jhelna Ho GaMohabbat Jis Ko Hoti HaiYe Khod Us Ko Huner Apna Sikhati HaiNahin Aisa K Ye Koi Hawa Ka Ek Jhonka HaiK Jo Deewar Se TakrayeAur Wapis Chala JayeeYa Phir Aanchal Ko Cho Ker Hi Guzar JayeeMohabbat Jis Kisi K Naam Hoti HaiHamesha Phir Usi K Naam Rehti HaiNahin Phir Chorti DamanAzal Se Abad Tak Saath Rehti HaiNibhana Perta Hai Is KoYe Hum Per Farz Hoti HaiChukana Perta Hai Is KoYe Hum Per Qarz Hoti HaiKaren Hum Laakh Chahe Koshishen LekinIgahen Jis Qadar Chahe Hum Jhuka Ker ChalenPhir B Kabhi Qadmon Ki Aahat PerKabhi Ik Muskurahat PerNazar To Uth Hi Jati HaiMohabbat Ho Hi Jati Hai

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?Main To Bus Khamosh Sa Sha‘IrUlfat Chahat Ke Rango SeDil Ki Khali Tasveero MeKoi Mohabbat Likh Deta Hoon …Aur Kabhi Deewar Se LagkarKoi Mohabbat Ro Deta Hoon …Aur Kabhi Aankho Aankho MeinSaari Baatein Keh Jata Hoon ….Main To Ek Khamosh Sa Sha‘IrMujhko Baatein Kab Aati Hain ???Mujh Ko Baatein Gar Aati ToTum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???Mere Sapne Tod Kar Jaati ???Kiya Meri Aankho Mein Dukh KeItne Aansoo Dekh Sakti Thi ???Mera Kul Sarmaya Tha JoKiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???Mujh Ko Baatein Gar Aati ToMain Bhi Tumse Woh Sab KehtaJo Tum Sunne Ki Khwahish MeinSaare Raaste Bhool Aayi HoSaare Rishte Bhool Aayi HoMain Thera Khamosh Sa Sha‘IrMujh Ko Baatein Gar Aati ToTum Bhi Mere Khwab SajaatiYoon Na Tanha Chhor Kar JaatiKaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

Mohabbat Zaat Hoti HaiWasi Shah Kii Ek Nazm Paish E Khidmat HaiMohabbat Zaat Hoti HaiMohabbat Zaat Ki Takmeel Hoti HaiKoii Jangal Men Ja Thehrey Kisi Basti Men Bas JayeMohabbat Saath Hoti HaiMohabbat Khushboo Kii LeyMohabbat Mosamon Ka DhunMohabbat Aabsharon Key Nikhartey Paaniyon Ka ManMohabbat Jangalon Men Raqs Karti Morni Ka TanMohabbat Parhti Sardiyon Men Dhoop Banti HaiMohabbat Chalchalatey Garm Sehraaon Mem Thandi Chaaon Kii ManindMohabbat Ajnabi Duniya Men Apney Gaaon Kii ManindMohabbat DillMohabbat JaanMohabbat Moorti HaiAur Kabhee Jo Dill Ke Mandir Me Kaheen Par Toot Jai ToMohabbat Kaanch Kee GuriyaFizaaon Men Kisi Ke Haath Se Gar Choot Jai ToMohabbat Aabla Hai Karb KaAur Phoot Jai ToMohabbat Rog Hoti HaiMohabbat Soz Hoti HaiMohabbat Sog Hoti HaiMohabbat Shaam Hoti HaiMohabbat Raat Hoti HaiMohabbat Jhilmilati Aankh Men Barssat Hoti HaiMohabbat Neend Kii Rut Men Khuabon Key Raston Par Sulagtey Jaan Ko AateyRat Jagon Kii Ghaat Hoti HaiMohabbat Jeet Hoti HaiMohabbat Maat Hoti HaiMohabaat Zaat Hoti Hai

Zaban-e-hind hai urdu to mathe ke shikan q haivatan mein be-vatan q haimeri mazalum urdu teri sanson mein ghutan q haitera lahaja mahakata hai to lafzon mein thakan q haiagar tu phul hai to phul mein itni chubhan q haivatan mein be-vatan q haiye nanak ke ye khusro ke daya shankar ke boli haiye divali ye baisakhi ye id-ul-fitr holi haimagar ye dil ke dhadakan aj kal dil ke jalan q haivatan mein be-vatan q haiye nazon se pali thi mir ke galib ke aangan meinjo suraj ban ke chamaki thi kabhi mahalon ke daman meinwo shah-zadi zabanon ke yahan be-anjuman q haivatan mein be-vatan q haimuhabbat ka sabhi elan kar jate hain mahafil meinke is ke vaste jazba hai ham-dardi ka har dil meinmagar haq mangane ke waqt ye beganapan q haivatan mein be-vatan q haiye doshiza jo bazaron se ithalati guzarati thilabon ke nazuki jis ke gulabon si bikharati thijo tahazibon ke sar ke odhani thi ab kafan q haivatan mein be-vatan q haimuhabbat ka agar dawa hai to is ko bachao tumjo wada kal kiya tha aj wo wada nibhao tumagar tum ram ho to phir ye ravan ka chalan q haivatan mein be-vatan q hai

Kabhi Iqrar Kar Layna Kabhi Inkar Kar LaynaKahaan Say Tum Nay Sekha Hai Anokha Pyar Kar LynaTumhain Baanhoon Main Bhar K Serif Yehhi Pygam Dena ThaApnay Sooy Jazboon Ko Zara Bydar Kar LaynaKabhi Chahat Say Tum Magloob Ho Kar Muskora DynaKabhi Kuch Sochna Or Soch Kar Inkaar Kar LynaKabhi Shola Kabhi Shabnum Kabhi Shadaan Kabhi BarhumKabhi Roona Kabhi Lyhjay Ko Phir Jhankar Kar LynaTumhari Yeh Bolti Ankhain Yeh Gur Jantee Bhee Hoon GiHum Aseeoon Ko Aseer Nagmaan Guftaar Kar LynaSalika Chaheyeh Rah Talab Main Jinay Marnay KaNahi Zeba Mohabbat Ko Janoon Aasar Kar LynaMohabat Ek Naymaat Hai Essay Hanza Yeh Samajh NaMonasib To Nahi Hoga Esay Aazad Kar LynaKahaan Say Tum Nay Sekha Hai Anokha Pyar Kar LynaTumhain Baanhoon Main Bhar K Serif Yehhi Pygam Dena ThaApnay Sooy Jazboon Ko Zara Bydar Kar LaynaKabhi Chahat Say Tum Magloob Ho Kar Muskora DynaKabhi Kuch Sochna Or Soch Kar Inkaar Kar LynaKabhi Shola Kabhi Shabnum Kabhi Shadaan Kabhi BarhumKabhi Roona Kabhi Lyhjay Ko Phir Jhankar Kar LynaTumhari Yeh Bolti Ankhain Yeh Gur Jantee Bhee Hoon GiHum Aseeoon Ko Aseer Nagmaan Guftaar Kar LynaSalika Chaheyeh Rah Talab Main Jinay Marnay KaNahi Zeba Mohabbat Ko Janoon Aasar Kar LynaMohabat Ek Naymaat Hai Essay Hanza Yeh Samajh NaMonasib To Nahi Hoga Esay Aazad Kar Lyna

Muhabat Ki Tabiyat Main Yeh Kaisa Banchpana Qudrat Ne Rekha HaiK Yeh Jitni Purani Jitni Mazbot Ho JayeIse Taeede Taza Ki Zarorat Phir Bhi Rehti HaiYaqeen Ki Akhri Had Tak Dilon Main Lehlahati HoNigahun Se Tapakti Ho Lehu Main Jagmgati HoHazaron Tarah K Dilkash Haseen Hale Banati HoIse Izhaar K Lafzun Ki Hajat Phhir Bhi Rehti HaiMuhabt Mangti Hai Youn Gawahi Apne Hone KiK Jaise Tifl E Sada Sham Ko Ik Beej BoyeAur Shab Main Barha UttheZameen Ko Khod Kar Dekhe , K Pooda Ab Kehan Tak HaiMuhabt Ki Tabiyat Main Ajab Takrar Ki Khu HaiK Yeh Iqrar K Lafzun Ko Suunne Se Nahi ThaktiBichardne Ki Ghardi Ho Ya Koi Milne Ki Saaat HoIse Bas Aik Hi Dhun HaiKeho” Mujh Se Muhabat HaiKeho Mujh Se Muhabbat HaiTumhain Mujh Se Muhabat HaiSumander Se Kahin Gehri,Sitarun Se Siwa RoshanPahardun Ki Tarah Qaim , Hawaon Ki Tarah DaaimZameen Se Asman Tak Jis Qadar Ache Manazar HainMuhabt K Kanaye Hain Wafa K Istaare HainHumare HainHumare Waste Ye Chandni Ratain Sanwarti HainSunehra Din Nikalta HaiMuhabt Jistaraf Jaye Zamana Sath Chalta Hai”Kuch Aisi Be-Sakooni Hai Wafa Ki Sarzameenon MainK Jo Ehl-E-Mohabbat Ko Sada Bechain Rakhti HaiK Jaise Phool Main Khushboo, K Jaise Hath Main ParaK Jaise Sham Ka TaraMohabbat Karne Waloon Ki Seher Ratoon Main Rehti HaiGuman K Shak-Choon Main Aashian Banta Hai Ulfat KaYe Ain-E-Visl Main Bhi Hijr K Khadshoon Main Rehti HaiMohabbat K Musafir Zindagi Jab Kaat Chukte HainThakan Ki Kerchiaan Chunte, Wafa Ki Afrkiaan PehneSame Ki Rah Guzar Ki Aakhri Sarhad Pe Rakhte HainTo Koi Doobti Sansoon Ki Dori Tham KarDheere Se Kehta Hai”Ye Sach Hai Na !!Hamari Zindagi Ek Dosre Ke Naam Likhi ThiDhund-Laka Sa Jo Aankhoon K Qareeb-O-Door Phela HaiIsi Ka Naam Chahat HaiTumhain Mujh Se Mohabbat Thi” Tumhain Mujh Se Mohabbat Thi ””Mohabbat Ki Tabiat MainYe Kaisa Bachpana Qudrat Ne Rakha Hai

Mein Aisi Mohabbat Kerta HoonNa-Kaam Nahi, Na-Shaad NahiMein Qais Nahi Ferhad NahiPunno B Nahi Ranja B NahiWamiq B Nahi Mirza B NahiWo Loog Tu Bas Afsana ThyIs Shidat Se Be-Gana ThyMein Zinda Ik Haqeqat HoonSar-Ta-Pa Jazba-E-Ulfat HoonMein Tum Ko Dekh K Jeeta HoonHer Lamha Tum Pe Merta HoonMein Aisi Mohabbat Kerta HoinTum Kesi Mohabbat Kerty Ho?Tum Jahan Pe Beth Ker Jaty HoJis Cheez Ko Haath Lagaty HoMein Wahein Pe Betha Rehta HoinUs Cheez Ko Choota Rehta HoinMein Aisi Mohabbat Kerta HoinTum Kesi Mohabbat Kerty Ho?Tum Jis Se Has K Milty HoMein Usko Dost Bnata HoinTum Jis Rasty Pe Chalty HoMein Us Se Aata Jaata HoinMein Aisi Mohabbat Kerta HoinTum Kesi Mohabbat Kerty Ho?Tum Jin Ko Dekhty Rehty HoWo Khawab Serhany Rakhta HoinMein Tum Se Milny Julny KKitny Hi Bahany Rakhta HoinMein Aisi Mohabbat Kerta HoinTum Kesi Mohabbat Kerty Ho?Kuch Khawab Saja Ker Ankhon MeinPalkon Se Mooti Chunta HoinKoe Lams Ager Chu Jaey TuMein Perhon Tum Ko Soochta HoinMein Aisi Mohabbat Kerta HoinTum Kesi Mohabbat Kerty Ho?Jin Logon Mein Tum Rehti HoTum Jin Se Baten Kerti HoJo Tum Se Has K Milty HeinJo Tum Ko Achy Laghty HeinWohi Muj Ko Achy Laghty HeinMein Aisi Mohabbat Kerta HoinTum Kesi Mohabbat Kerty Ho?Jis Bagh Mein Sunha Ko Jati HoJis Sabzy Per Tum Chalti HoJo Shaakh Tumein Choo Jati HaJo Khushboo Tum Ko Bhati HaWo Oos Tumhary Chehry PerJo Qatra Qatra Gherti HaWo Titli Chorh Ker Pholon KoJo Tum Se Milny Aati HaJo Tum Ko Choony Aati HaIn Sab K Nazuk Jazbon MeinMery Dil Ki Dherhkan Basti HaMeri Roh Mein Shamil Rehti HaTum Pass Raho Ya Door RahoNazron Mein Samaae Rehti HoMein Tum Ko Takta Rehta HoinMein Tum Ko Soochta Rehta HoinMein Aisi Mohabbat Kerta HoinTum Kesi Mohabbat Kerty Ho?Her Manzer Mein Her Rasty MeinMein Saath Tumhary Hoota HonMein Chashm-E-Tawwer Se AksarBas Tum Ko Dekhta Rehta HoinBas Tum Ko Soochta Rehta HoinMein Aisi Mohabbat Kerta HoinTum Kesi Mohabbat Kerty Ho?