Apnay Bister Per Bohat Der Se Main Neem DarazSochti Hon K Is Waqt Who Kahan Ho GaMai Yahan Hon Magar Is Koocha-E-Rango-Bo MainRoz Ki Tarah Who Aaj Bhi Aya Ho GaAur Jub Us Nai Wahan Mujh Ko Na Paya Ho GaAap Ko Maloom Hai Who Aaj Nahi Ayi HainMeri Her Dost Se Us Nai Yehi Poocha Ho GaChalte Chalet Koi Manoos Si Ahat Pa KerDosto Ko Bhi Kisi Uzr Se Roka Ho GaRahdari Mai Haray Lawn Main Phoolon K QareebUs Nai Her Simt Mujhay Aan Kar Dhoonda Ho GaJub Mili Ho Gi Use Meri Halat Ki KhabarUs Ne Ahista Se Deewar Ko Thama Ho GaYad Kar K Mujhay Nam Ho Gain Hon Gi PalkainAnkh Main Par Gaya Kuch! Keh Kar Tala Ho GaOr Ghabra Kar Kitabon Main Jo Li Ho Gi PanahHer Sitr Main Mera Chehra Ubher Aya Ho GaIttefaqan Mujhay Us Sham Meri Dost MiliMai Nai Poocha Suno Aye Thay Who Kaisay Thay?Mujhay Poocha Tha?Mujhay Dekha Tha, Choro Janab!Us Nai Aik Lamhe Ko Dekha Mujhay Or Hans DiIs Hansi Main Tu Who Talkhi Thi K Is Se AgayKia Kaha Us Nai Mujhay Yad Nahi BusBus Itna Maloom Hai KKHOABOON KA BHARAM TOOT GAYA!!

Your Comment Comment Head Icon

Login