Bahar se nafrat thi,Par dil me wo mere basta tha !Wo pagal sa ek ladka,Jo dekh ke mujhko hansta tha !!Kyun thukraya ? mang ko uski,Soch ke ab pachhtati hu !Dil ke badle dil manga tha,sauda kitna sasta tha !!Kisse puchhu ? kaise puchhu ?Kyun nahi deta ab dikhayi !Roz guzarta tha wo idhar se,Uska yahi rasta tha !!Dard chhupa kar jeena uski,bahut purani adat thi !Bheetar-bheetar rota tha wo,bahar-bahar hansta tha !!
Like (0) Dislike (0)
Your Comment