Kab Thi Raah Mein Teri, Fikre Beshikam MaulaHar Qadam Tha Wirde Zubaan, Dam Hamadam Dam MaulaKab Hamare Bas Mein Thi Baria Bhi Is Dar KiAap Ne Bulaya To Aa Gaye Hain Hum MaulaJeeteji Na Bhulega Humko Tera DastarkhanNematein Do Aalam Ki Thi Jaha Baham MaulaTere Mehe Maabankar Chumkar Tera Sang-e-DarHo Gaye Hain Dunya Mein Hum Bhi Mohtaram MaulaAap Jisse Raazi Hon Wo Khushi Ataa KeejeAur Bajuz Gham-e-Sarwar Ho Na Koi Gham MaulaAb Koi Nahin Jachta Shehriar O Takht O TaajJabse Hain Nighaahon Mein Aap Ka Hasham MaulaLag Raha Hai Yun Mujhko Jayse Mil Gayi MerajJab Se Choom Aaya Hoon Aap Ke Qadam MaulaRaah Agar Che Mushkil Thi Aur Safar Musalsal ThaAake Tere Dar Pe Hue Phir Se Tere Dam MaulaAap Ke Siwa Maula Kaun Usko SamjhegaHaal Jo Suna Ayi Mere Chashm-e-Nam MaulaJaanta Hai Khoob Usko Sibte Jafare KhushdoHai Ye Sher Goyi Bhi Aap Ka Karam Maula

Your Comment Comment Head Icon

Login