Khoobsurat Ek Misaali Ghar Banana Hai MujheEk Ajooba Ahal-e-Duniya Ko Dikhana Hai MujheHousla Himmat Ke Buniyadoun Me Pathar Baandh KarAzm Wo Istaqlaal ka Paya Jamana Hai MujheMahr Ka Paani, Wafaa Ki Reet, Ganj Isaar KiPyaar Ki Eintou Se Deewarein Uthana Hai MujheKhidkiyaa Iqlaas Ki, Darwaze Husn-e-Qalq KeInn Pe Parde Muskurahat Ke Lagana Hai MujheDard Mandi Aur Silaa Rehmi Ki Roshan DaniyaaFarsh Salim Qaaksari Ka Bichana Hai MujheIlm Ki Hongi Kaamanein Aur Aquwat Ke SutoonSaare Ghar Me Ilm Ki Shamein Jalana Hai MujheChatt Ki Kadiyaa Fahem Ki Houngi Salaqein Raham KiJhoomaroun Se Shukar Ki Chatt Ko Sajana Hai mujheRaahdaari Chain Ki, Kamre Sukoon-e-Qalb KeEk Waseh Dalaan Chahat Ka Banana Hai MujheSeedhiyaa Zindadili Ki, Khushdili Ka TabdaanHar Qadam Par Naksh Fitrat Ke Bithana Hai MujheBalcony Inksari Ki, Jharoke Sabar KeInn Me Kangoore Sharafat Ke Lagana Hai MujheRang O Rougan Burdbaari Ke Dar O Deewar ParToghre Allah Aur Muhammed Ke Sajana hai MujheChaar Deewari Haya Ki, Aur Gate Qair KaPeid Ekjahiti Ke Aangan Me Lagana Hai MujheKiyariyan Itayat Ki Hongi, Belein Istaghfaar KiHusn Zann Ke Maiz Honge, Kursiyaa Tahzeeb KiIss Tarah Deewan Qane Ko Sajana hai MujheKhoobsurat Ek Misaali Ghar Banana Hai Mujhe

Your Comment Comment Head Icon

Login