Khwaabon Ki Dekh-Bhaal Men Aankhen Ujar GayiiTanhaa`Iiyon Ki Dhuup Ne Chehraa Jalaa DiyaaLafzon Ke Jorne Men Ibaadat Bikhar ChaliiAa`Iine Dhuundne Men Ka`Ii Aks Kho GayeAaye Na Phir Wo Laut Ke Ik Baar Jo GayeWo Din, Wo Waqt,Rut Wo, Wo Mausam Wo Sar KhushiiAi Gardish-E-Hayaat, Ay Raftaar-E-Maah-O-Saal!Kyaa Jamm`A Is Zameen Pe Hogay Na Phir Kabhii?Jo Hamsafar Firaaq Ki Dal-Dal Men Kho GayePatte Jo Gir Ke Per Se, Raston Men Kho GayeKyaa Phir Kabhi Na Laut Ke Aayegi Wo BahaarKyaa Phir Kabhi Na Aankh Men Utaregi Wo DhanakJis Ke Vafoor-E-Rang SeJhalkii Hu`Ii Hawaa.. Kartii Hai Aaj TakIk Zulf Men Sajay Huve Phulon Kaa Intezaar!Lamhe Zameen-E-Hijr Ke Phailay Kuchh Iss TarahReg-E-Ravaan-E-Dasht Ki (Tamsheel ?Tamsheed?) Ho GayiiIss Dasht Par Saraab Men Bhatke Hain Iss QadarNaqsh-E-Qadam Thay Jitne Bhi, Paa-Maal Ho GayeAb Tau Kahiin Pe Khatm Ho Rastaa Gumaan KaaSheeshe Men Dil Ke Saare Yaqeen Baal Ho GayeJis Waaqiye Ne Aankh Se Cheenii Thi Meri NeendUss Waaqiye Ko Ab Tau… Ka`Ii Saal Ho Gaye !!

Your Comment Comment Head Icon

Login