Kis Tarha Se Manzil-e-Irfan-e-Haydar SochnaGhayr Mumkin Hai Had-e-Imkaa Se Baahar SochnaKalma-e-Tawheed Ki Haqq-e-Wilayat Ki QasamShirk Hai Ghayron Ko Maula Ke Baraabar SochnaKhutba-e-Zehra Samajhne Ke Liye Puuri TarhaLaazmi Hai Ban Ke Haydar Ya Payambar SochnaZauf-e-Jism-e-Mustafa Ka Aur Bhi Tha Kuch IlaajChaadar-e-Masooma-e-Aalam Se Hatkar SochnaJiske Tukrhon Par Paley As’haab-e-Khatmul MursaleenKisne Ki Unki Kifaalat Zindagi Bhar SochnaKehte Hain Rif’at Kisey Aur Auj-e-Insaani Hai KyaFatema Zehra Ke Dar Par Sar Jhukaa Kar SochnaDushmani Bint-e-Nabi Se Aur Nabi Se DostiKya Yehi Islam Hai Ay Banda Parwar SochnaHashr Mein Kholega Jab Apni Adaalat KirdigaarMujrim-e-Baagh-e-Fidak Honge Kahaan Par SochnaKalma-e-Haq Ki Hifaazat Jaan Dekar Kis Ne KiGar Miley Fursat Kabhi To Kalma Parhkar Sochna

Your Comment Comment Head Icon

Login