Mana-e-dasht navardi koi tadabir nahiek chakkar hai mere paon mein zanjir nahihasarat-e-lazzat-e-azar rahi jati haijadah-e-rah-e-vafa juz dam-e-shamshir nahiranj-e-na-ummidi-e-javed gavara rahiyokhush hun gar nala zabuni kash-e-tasir nahisar khujata hai jahan zakhm-e-sar acha ho jayelazzat-e-sang ba-andaza-e-taqarir nahijab karam rukhsat-e-bebaki-o-gustakhi dekoi taqasir ba-juz khaslat-e-taqasir nahi“ghalib” apna ye aqida hai baqaul-e-nasikhaap be-behara hain jo motaqid-e-mir nahi

Your Comment Comment Head Icon

Login