Mere Khudaya Mein Zindagi KayAazaab Likhoon K Khawab LikhoonYeh Mera Chehra Yeh Meri AankhainBujhay Huwe Charaagh JaisayJo Phir Say Jalnay Kay Muntizar HonWoh Chand Chehra, Sitaara AankhainWoh Meharbaan Saaya-Daar ZulfainJinhon Nay Paemaan Kiye The MujhsayRifaaqaton Kay Muhabbatoun KayKaha Tha Mujhsay Keh Ae Mussafir Reh-E-Wafa KeJahan Bhi Jaae Ga Ham Bhi Aain Gay Saath TerayBanain Gay Raaton Mein Chandani HamTou Din Mein Saae Bakhaer Dain GayWoh Chand Chehra, Sitaara AankhainWoh Meharbaan Saaya-Daar ZulfainWuh Apnay Paemaan Rifaaqton Kay Muhabbatoun KayShikasst Kar Kay Ajaane Abb Kis Ki Reh-Guzar KaMinaar-E-Roshni Hue HainMagar Mussafir Ko Kya Khabar HayWoh Chand Chehra Tou Bujh Geyaa HaySitaara Aankhain Tou So Gaii HainWoh Zulfain Be-Saaya Ho Gaii HainWoh Roshni Aur Woh Saae Meri Atta ThaySo Meri Raahon Mein Aaj Bhi HainKeh Mein Mussafir Reh-E-Wafa KaWoh Chand Chehra, Sitaara AankhainWuh Meharbaan Saaya-Daar ZulfainHazaaron Chehron Hazaaron AankhonHazaaron Zulfon Ka Aik Saelaab-E-Tund Lay KarMeray Taqub Mein Aa Rahay HainHar Aik Chehra Hay Chand ChehraHain Saari Aankhain Sitaara AankhainTamaam Hain Sayya-Daar ZulfainMein Kis Ko Chahun Mein Kis Ko DaikhoonMein Kis Kay Saae Mein Baeth JaounBachoon Keh Toofaan Me Doob JaounKeh Mera Chehra, Na Meri AankhainMere Khudaya ! Mein Zindagi KayAazaab Likhoon K Khawab Likhoon

Your Comment Comment Head Icon

Login