Paon ke zakhm hain farsh-e-gul-e-tar hone takreh dushvar hai aagaz-e-safar hone takye alag baat ke khamosh hain ahal-e-zindanwarna ye qaid hai divar mein dar hone takek nazar naqsh-e-kaf-e-pa ka hunar to dekhokahkashan si nazar aati hai sahar hone takhaye wo bij jo matti mein daba rehta haikin marahil se guzarata hai shajar hone takkya khabar tum ko ki ye saqf ye divar hain kyahum pe kya guzri hai is chaon ke ghar hone tak

Your Comment Comment Head Icon

Login