Tu bhi kisi ka pyar na paye khuda karetujh ko tera nasib rulaye khuda kareraton mein tujh ko neend na aaye khuda karetu dar-ba-dar ke thokaren khaye khuda kareaaye bahar tere gulistan mein bar bartujh par kabhi nikhar na aaye khuda karemeri tarah tujhe bhi javani mein gham miletera na koi sath nibhaye khuda karemanzil kabhi bhi pyar ke tujh ko na mil saketu bhi dua ko hath uthaye khuda karetujh par shab-e-visal ke raten haram honshammen jala jala ke bujhaye khuda kareho jayen bad-duayen meri dosto galatab un pe koi harf na aaye khuda kare

Your Comment Comment Head Icon

Login