Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahiKyun usey Tuu ne bas ek Phool kaha hai Mere DostTu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahiTu jise itni Haseen cheez samajhta hai wo PhoolSookh jaaye to Nigaahon ko bura lagta haiPhool ka apna koi rang koi Roop nahiUske Jore mai saja ho to Bhala lagta haiMera Mehboob to har Waqt Naya hai Mere DostTu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahiMere Mehboob ke Jalwon ka nahi koi JawaabDhoop sa rang hai aur khud hai wo Chha’aoon jesaUski Payal mai Barsaat ka Mausam ChhankeSar pe Resham ka Dupatta hai Ghata’aon jesaWo jahan bhar ke Haseeno se juda hai Mere DostTu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahiMere Mehboob ki Aankhen hain Do Gehri JheelienJin mai khilte hain Mere waaste Chahat ke KanwalUnko dekhoon to Mujhe Shayari karni aa jaayeAur mai uske lye Gaaon Mohabbat ki GhazalWo Mere Dil ke Dharakne ki sada hai Mere DostTu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahiPoet:Qateel Shifaai

Your Comment Comment Head Icon

Login