Ujalon Ki Pariyan Nahane LagiNadi Gungunayi Khayalat Ki

Ab Tarsate Raho Ghazal Ke LiyeTumne Laphzon Se Bewafai Ki

Uska Aanchal Bhi Koi Badal ThaVo Hawaon Ka Humsafar Nikla

Phool Sa Kuch Kalaam Aur SahiEk Ghazal Uske Naam Aur Sahi

Jahan Ped Par Char Dane LageHazaron Taraf Se Nishane Lage

Mera Shaitan Mar Gaya ShayadMere Seene Pe So Raha Hai Koi

Ab Tarsate Raho Ghazal Ke LiyeTumne Laphzon Se Bewafai Ki

Mere Hothon Ke Phool Sookh GayeTumne Kya Mujhse Bewafai Ki

Dil Me Har Vaqt Ek HungamaShehar Tanha Hai Sheharyar Bahut

Huyi Sham, Yaadon Ke Ik Gaanv SeParinde Udasi Ke Aane Lage

Aaj Main Jagoonga Ki Sote HueMeri Palko Ko Choomta Hai Koi

Mere Hothon Ke Phool Sookh GayeTumne Kya Mujhse Bewafai Ki

Sab Mere Haath Paanv Laphzon KeAur Aankhein Bhi Roshanai Ki

Paanv Me Dum Rahe Dyaar BahutHaath Chalte Hon, Rozgar Bahut

In Pahado Mein Rehte Hain HumzaadBol Kar Dekh Bolta Hai Koi