Dayar-e-dil ki raat mein chirag sa jala gayamila nahi to kya hua wo shaql to dikha gayajudaion ki zakhm dard-e-zindagi ne bhar diyetujhe bhi neend aa gai mujhe bhi sabr aa gayaye subah ki safediyan ye dopahar ki zardiyanab aaine mein dekhata hun main kahan chala gayapukarati hain fursaten kahan gai wo sohabatenzamin nigal gai unhen ya aasaman kha gayawo dosti to khair ab nasib-e-dushmanan huiwo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gayaye kis khushi ki ret par gamon ko neend aa gaiwo lahar kis taraf gai ye main kahan sama gayagaye dinon ki lash par pade rahoge kab talakutho amalkashon utho ki aafatab sar pe aa gaya

Your Comment Comment Head Icon

Login