phir ek din aisa aayegaaankhon ke diye bujh jayengehathon ke kanval kumhalayengeaur bargezaban se nataqvasadake har titali ud jayegiik kale samandar ke tah meinkaliyon ke tarah se khilati huiphoolon ke tarah se hansati huisari shaklen kho jayengikhoon ke gardish dil ke dhadakansab ranginiyan so jayengiaur nili faza ke makhmal parhansati hui hire ke ye kaniye meri jannat meri zaminis ke subahen is ke shamenbejane hue besamajhe hueik musht gubareinsan parshabanam ke ro jayengihar cheez bhula di jayegiyadon ke hasin butkhane sehar cheez utha di jayegiphir koi nahi ye puchega‘sardar’ kahan hai mahafil meinlekin main yahan phir aaungabachon ke dahan se bolungachidiyon ke zaban se gaungajab bij hansenge dharati meinaur konpalen apni ungali sematti ke tahon ko chedengimain patti patti kali kaliapni aankhen phir kholungasar sabz hatheli par lekarshabanam ke qatre tulungamain rangehena aahangegazalandazesukhan ban jaungarukhsareurusenau ke tarahhar aanchal se chan jaungajadon ke havayen daman meinjab fasalekhazan ko layengirahru ke jawan qadmon ke talesukhe hue patton se merehansane ke sadayen aayengidharati ke sunahari sab nadiyanaakash ke nili sab jhilenhasti se meri bhar jayengiaur sara zamana dekhegahar qissa mera afsana haihar aashiq hai saradar yahanhar mashuqa sultana haimain ek gurezan lamha hunayyam ke afsunkhane meinmain ek tadapata qatra hunmasarufesafar jo rehta haimazi ke surahi ke dil semustaqbil ke paimane meinmain sota hun aur jagata hunaur jag ke phir so jata hunsadiyon ka purana khel hun mainmain mar ke amar ho jata hunPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ali Sardar Jafri

Your Comment Comment Head Icon

Login