Ye Duniya Tere Khatir Na Thi ShaayadAy Chaand Tujhe Yahaan Na Aana ThaBekaar Tatolta Raha In Pattharon KoYahaan Mohobbat Ka Phool Na Khil Paana Tha,Khoobsoorat Chehron Ke PichheMakkariyon Ka Ambaar Dekha,Insaaniyat,Pyar, Sachaai Jahaan Bikti HaiHamne Yahaan Wo Baazaar Dekha,Apne Se Nazar Aane WaaleBachpan Saath Bitaane Waale,Mere Umron Lambe Doston KiDosti Or Eitbaar Dekha,Ghar, Daftar, Dukaanon MeMai Soude Baaziyan Jhelta Raha,Mai Karta Raha Viswaas SabparHar Ek Is Viswaas Se Khelta Raha,Bada Eitbaar Tha Jis Chaandni ParWo Bhi Juda Ho Gai,Jara Baadal Kya ChaayeWo Apna Vishwaas Kho Gai,Har Rishte Ki Gehraai MeMeine Daulat Ka Prabhaav Dekha,Milna Milaana To Khoob ThaPar Unme Khushboo Ka Aabhaav Tha.ChaandKoi Mere Dil Se Khelta HaiKoi Mere Desh Se Khelta Hai,Wo Uparwaala Jaane Kahaan Baitha HaiKya Wo Bhi Meri Hi Tarah,Is Jahaan Ki, Makkaariyon Ko Jhelta Hai.

Your Comment Comment Head Icon

Login