Jab Hum Khush Hain , Tab Bahut Pyaari Hai Jindagi; Jab Hum Udas Rahen, Tab Dukh Bhari Hai Jindagi; Jab Dil Ko Koi Achchha Lage , Tab Rangeen Hai Jindagi; Jab Mann Soch Mein Dooba Rahe, Tab Bahut Gaheri Hai Jindagi; Jab Kathinaiyan Samne Aaye, Tab Mushkilon Se Ladna Hai Jindagi; Jab Hoonsala Afjaayi Ho , Tab Prerna Hai Jindagi; Jab Kisi Ke Samne Jhukna Pade , Tab Khaamosh Hai Jindagi; Jab Bahut Kuch Sahna Pade , Tab Lachar Hai Jindagi; Jab Duniya Sachchhi Lage , Tab Masoom Hai Jindagi; Jab Jhoot Se Dhaki Sachchhayi Samne Aye , Tab Dardnak Hai Jindagi; Jab Dil Toot Jaye , Tab Gamoon Se Ghiri Hai Jindagi Jab Prem Mile , Tab Anurag Hai Jindagi; Jab Kuch Samajh Na Aaye , Tab Ghor Andhera Hai Jindagi; Jab Raasta Najar Aaye , Tab Nayi Subah Hai Jindagi; Jab Sapne Bikhar Jaaye , Tab Aankon Ka Nam Hona Hai Jinagi; Jab Sapne Sakar Hon , Tab Pagalpan Hai Jindagi; Apno Ke Prati Pyaar Hai Jindagi, Unke Liye Kuch Bhi Kar Kujarne Ki Chahat Hai Jindagi; Aur Toh Aur Gairon Ko Apna Bnaaye Ye Jindagi; Sach Poochoo Toh Ae Dost, Paristithi Ke Saanche Main Khud Ko Dhalna Hai Jindagi.

Your Comment Comment Head Icon

Login