Duniya bani to hamdosuna ban gai gazalutara jo nur nurekhuda ban gai gazalgunja jo nadbrahm bani raqsemaharomahzarre jo thartharaye sada ban gai gazalchamaki kaheen jo barq to ehasas ban gaichai kaheen ghata to ada ban gai gazalaandhi chali to qahar ke sanche mein dhal gaibadesaba chali to nasha ban gai gazalhaivan bane to bhuk bani bebasi baniinsan bane to jazbevafa ban gai gazalutha jo dardeishq to ashkon mein dhal gaibechainiyan badi to dua ban gai gazalzahid ne pi to jamepanah ban ke rah gairindon ne pi to jamebaqa ban gai gazalarzedakkan mein jan to dilli mein dil baniaur shahar lakhanau mein hina ban gai gazaldohe rubai nazmen sabi ‘tarz’ the magarasnafeshayari ka khuda ban gai gazalPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ganesh Bihari Tarz

Your Comment Comment Head Icon

Login