Judai ke ghum mein ashakbaar rehta hoon
har pal har ghadi mein sogwaar rehta hoon
jis din tujh se meri baat nahi hoti
teri awaz sunane ko beqraar rehta hoon
sab meri judai ka sabab poochte hein
wo kya janein mein kyon sogwaar rehta hoon
yadon ke samandar mein jab dhoob jata hoon
youn lagta hai jaise beech manjdaar rehta hoon
teri chahat mein jo Asghr ko ghum milte hein
unein khushion mein karta shumaar rehta hoon

Your Comment Comment Head Icon

Login