Bana Bana kar jo duniya mitayi jaati hai Jaroor koi kami hai jo payi jaati hai Jab koi ajnabi aata hai unki mehfil mein Ek shama us dam jalayi jaati hai Jala kar shama woh forun bujha bhi dete hain Dhuyein ki taraf phir ungli uthai jaati hai Dhuyaan dikha kar kehte hain woh aane wale se Ki aashiqon ki yeh haalat banayi jaati hai

Your Comment Comment Head Icon

Login