Gham chupaana bhi to asaan nahin, Ke sunaana bhi to asaan nahin, Aatey aatey hi kabhi ayen ge, Un ka aana bhi to asaan nahin, Ab mere haal pe rotey kyon ho, Jee dukhana bhi to asaan nahin, Kya karain gar na karain yaad unko, Bhool jana bhi to asaan nahin, Zindagi Saif museebat hi sahi, Jee se jana bhi to asaan nahin.. Saif ul Din Saif

Your Comment Comment Head Icon

Login