Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta, Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta.. Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin, Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta.. Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi, Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta.. Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai, Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta.. Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed, Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta ….!

Your Comment Comment Head Icon

Login