Usey to pas e khuloos e wafa zara bhi nahi, Magar ye aas ka rishta kay toot’ta bhi nahi, Ghirey hoye hain khmoshi ki barf me kab sey, Kisi kay pas koi tesha e sada bhi nahi, Tulo e subhah azal sey me dhoondta tha jisey, Mila to hai par meri simat dekhta bhi nahi, Meri sada sey bhi raftar tez thi us ki, Mujhey gila bhi nahi hai jo wo ruka bhi nahi, Bikhar gai hai nigahon ki roshani warna, Nazar na aye wo itna to fasila bhi nahi. Anwar Masood

Your Comment Comment Head Icon

Login