Usy Kehna Yeh Duniya hai! Yahan Har Morr pe Aisy bohat sy Loag milty hain! Jo Andar Tak Utarty hain! Abad Tak sath rehny ki! Akathy Dard sehny ki! Hamesha Bat karty hain! Usy kehna..! Yeh Duniya hai! Yahan Har Shakhs Matlab ki! Haddon Tak sath chalta hai..! Jonhi Mausam Badalta hai! Muhabbat k Sabhi Daaway! Sabhi Qasmein! Sabhi Waaday! Sabe Rasmen! Achanak Tout jaty hain! Usy kehna….! Yeh Duniya hai…!

Your Comment Comment Head Icon

Login