Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha Aansoo baha kr mjhe manaya krta tha Ye zindagi sirf tum se wabasta hai Aksar ye baat mjhe bataya karta tha Us ki baton mein kuch aisa asar tha Mein barish k bina he bheeg jaya karta tha Soney ki fursat kis ko the Wo mjhe sari raat jagaya karta tha Bechaini jab had se barh jati the Wo ji bhar k galae lagaya karta tha Wo itni muhabbat krne wala badal gaya Jo sath nibhane ki qasam khaya karta tha

Your Comment Comment Head Icon

Login