Labon pay harf na hi koi sawal rakhta tha Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha Khaber kahan thi mujhy wo bhool jaye ga Aik aik cheez jo meri sambhal rakhta tha Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha Mager nigah main so so sawal rakhta tha Woh muskura kay bohat dair chup sa raha Hansi ki aar main jaise malal rakhta tha Suna hai ab log usay bohat satatay hain Jis aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha

Your Comment Comment Head Icon

Login