Wo kehta tha! Tum aao sheher mera ghaur se, nazdeek se dekho Yahan k log aur un ki saqafat. . .aur Kisi ko paa k khonay ki haseen lazzat Yahan ka rehna, basna, bolna, hansna Muhabbat k anokhay roop In ki chaa’on in ki dhoop tum dekho! Yahan k jazbay boht sachay, boht achay boht masoom hoty hain Mery dil ne kaha aao samander choo k dekhaingy Wahan ja kar laga wo sheher mera hai Wahan sahil bhi mera us pe likhy khuwab mery hain Samander ki sabhi mauj’on pe mery aks thehery hain Wo saray log mery hain sabhi manoos chehray hain Wahab mitt, hawain, phool, pathar tak lagy apny Magar ik ajnabi c,daimi dil ko kasak is shakhs ne bakhsi jo aksar tang karti hai, jo mujh se jang krti hai Boht socha k aisa kyun hua, kaisy hua aakhir Tou dil ne holay holay se kaha ye sab to hona tha Tumhain us shakhs se milna, usey pana, khona tha Azal se is tarha hota chala aya Anokha bhaid hai is ko kisi ne kab, kahan paaya Bus itni baat tum ko yaad rakhni hai Tumhain us se muhabbat hai Laga chaar’on taraf fitrat pukaar uthi Tumhain us se muhabbat hai, Tumhain us se muhabbat hai Mery dil ne mery honton ne bhi iqraar ki manzil choo kar kah diya Yak Dam Mujhy Us se Muhabbat Hai MUJHY US SE MUHABBAT HAI. . !

Your Comment Comment Head Icon

Login