sauda hamara kabhi bazaar tak nahi pohncha ishq tha jo kabhi izhaar tak Nahi pohncha yun tu guftagoon bohut huwe unse phir bhi silsila kabhi yeh pyaar tak nahi pohncha jaane kaise ho gaya waakif tamaam shehar daastan-e-ishq yun tu kabhi akhbaar tak nahi pohncha shartein ek dusare ki manzoor thi yun tu par masauda hamara kabhi qaraar tak nahi pohncha gahrayi dosti main naapta bhi kaise rishta mamara kabhi taqraar tak nahi pohncha ana-a meri mujhe izazat nahi deti faqat isliye zaidi darbar tak nahi pohncha

Your Comment Comment Head Icon

Login