Mohabat khud batati hai Kahan kiska thikana hai Kisay aankhon main rakhna hai Kisay dil main basana hai Reha karma hai kisko aur Kisay zanjeer karma hai Mitana hai kisay dil say Kisay tehreer karma hai Issay malom hota hai Safar dushwar kitna hai Kisi ki chasm-e-girya main Chupa iqrar kitna hai Shajar jo girnay wala hai Wo saya daar kitna hai Mohabbat khud batati hai Kahan kiska thikana hai..!

Your Comment Comment Head Icon

Login