Tumhein soch-soch kar, tan mein jagi aungdayee Kaisi-kaisi aithan jagi, aag lagaye bahki purwayee; Kitna najuk pal hai yeh, jab tum hi tum dikhti ho Chahat ke changul mein fans, pighle yeh garmayee. Najar-najar ka khel hai yeh, najron nein aag lagayee Ras-Ras boondein tapak rahi, hothon ki hai badhayee; Gaal-gulala- kamal se chikne, chchuwan se ho fislayee Chehra chaand sa lagne lage, roshani faila jab muskayee Sach boloon to jab tum aati ho, mujhe achcha lagta hai Khul khayal khilne lagte hain, armanon ki rang-rangayee; Aas-pass sab jaanch-jaanch, tum aanch-aanch aungnayee Bandhan mein chandan sa lagta, jaise jism-jism amrayee.

Your Comment Comment Head Icon

Login