Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata haike zindagi teri zulfon ke narm chaon meinguzarne pati to shadab ho bhi sakati thiye tirgi jo meri zist ka muqaddar haiteri nazar ke shuaon mein kho bhi sakati thiajab na tha ke main beganaealam ho kartere jamal ke ranaiyon mein kho rehtatera gudaz badan teri nimbar aankheninhin hasin fasanon mein maho rehtapukaratin mujhe jab talkhiyan zamane ketere labon se halawat ke ghunt pi letahayat chikhati phirati barahanasar, aur mainghaneri zulfon ke saye mein chup ke jee letamagar ye ho na saka aur ab ye aalam haike tu nahin, tera gam, teri justaju bhi nahiguzar rahi hai kuch is tarah zindahi jaiseise kisi ke sahare ke aarzoo bhi nahizamane bhar ke dukhon ko laga chuka hun galeguzar raha hun kuch anjani guzargahon semuhib saye meri simt badate aate hainhayatomaut ke purhaul kharazaron sena koi jada na manzil na roshani ka suragbhatak rahi hai khalaon mein zindagi meriinhin khalaon mein reh jaunga kabhi khokarmain janata hun meri hamnafas magar yun hikabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi

Your Comment Comment Head Icon

Login