Tumne Jo Meri Kabr Par, Aakar Yun Muskura DiyaBijli Chamak Kar Gir Padi, Sara Kafan Jala Diya……Main So Raha Tha Chain Se, Yun Hi Kafan E Mazaar Mein,Yahan Bhi Sataane Aa Gaye, Kisne Pata Bata Diya……Tumne Chadhaye Phool To, Ehsaan Kya KiyaHumne Tumhare Ishq Mein, Sara Chaman Luta Diya…..Pucha Na Jeete Ji Kabhi, Dard E Dil Ka HaalAaye Ho Kabr Par Meri, Mitti Mein Jab Mila Diya…..Aaye Ho Mazaar Par Mere, Dekh Liya Ab Mera HaalThukra Ke Mere Pyar Ko, Kisi Aur Ko Apna Bana Diya….Ab Ho Gaya Hai Ilm Tumhein, Ek Shikayat Meri Jaan LoKiya Jo Hashar Tumne Mera, Apno Ko Begana Bana Diya….Main To Kafan Mein Hoon Ab, Meri Baat Aur Hai,Karna Na Unka Haal Wo Ab, Jo Haal Mera Tumne Bana Diya….Tumne Jo Meri Kabr Par, Aakar Yun Muskura DiyaBijli Chamak Kar Gir Padi, Sara Kafan Jala Diya…..!!Aaj Kuch Aisa Gujar Gaya, Dil Toot Kar Bikhar GayaDard Kuch Itna Bara, Hadd Se He Gujar Gaya

Your Comment Comment Head Icon

Login