Bohat khamosh reh ker jo, Sadayein mujh ko daita tha, Barre sundar se jazbon ki, Wafain mujh ko daita tha, Kabhi jo dard ki aatish mujhe, Sulganay lagti thi, Woh apnay saans ki, Mehki hawaayein mujh ko daita tha, Usay main ajnabi samjha, Magar har mor par ‘mohsin’, Woh apnay naam ki saari Duaein mujh ko daita tha..

Your Comment Comment Head Icon

Login